Faisla Hamein Hee Karna Hai (10/19/2018)

October 19, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 243

       Faisla Hamein Hee Karna Hai

Satyuga mein hui ladaayee
Asurlok aur Devlok mein
Vijay chaahe jiskee bhi hui
Dono hee kalpey shok mein

Tretayug mein Ram aur Raavan
Dono alag desh se thei aaye
Raavan ka vinaash kiya Ram ne
Bhakton ke dil mein Ram samaaye

Uske pashchyaat jab dwaaparyuga aaya
Toh niyati ne bhaaiyon ko ladwaaya
Ek pariwaar se hee thei kaurava aur paandav
Aur paandavon ne kauravon ko haraaya

Bhinn bhinn lok aur deshon ke baad
Itnee annbann hui ek hee pariwaar mein
Zara sochiye, abb kalyuga mein buraayee
Kahaan bastee hai sansaar mein?

Kalyuga mein asur aur devta
Dono hee basey hain hamaare mann mein
Yudh achchaayee buraayee ka
Dil mein jaari hai har kshan mein

Faislaa hamein hee karna hai
Ki vijay kiskee hogi
Jisne buraayee par vijay paa lee
Asli jeet uskee hee hogi

Guruji ne sharan mein liya hai humko
Kalyuga ke is pralay mein
Unke dikhaaye marg par chalein
Aise kathin samay mein

Tabb hee hoga udhdhaar hamaara
Keval Guruji ka hai abb sahaara
Kaam krodh moh lobh ko chodein
Ahem vehem paakhand se muh modein

Sewa simran mein samay beetaayein
Sachche dil se Satsang par jaayein
Shradha se langar prasad khaayein
Guruji kee mahima ka gungaan gaayein

Samarpan kar dein zindagi Guruji ko
Neevenpan se karein har kaam
Annyaay ko na sahein aur saraltaa se jeeyein
Sadaa Guruji ka lete rahein naam

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Faisla Hamein Hee Karna Hai (10/19/2018)

Leave a comment