Kaahe Ka Gumaan (10/20/2018)

October 20, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 244

             Kaahe Ka Gumaan

Ye duniyavee sukh aur dukh
Pal doh pal ke mehmaan hain
Jab zindagi hee kshanbhangur hai
Phir kaahe ka gumaan hai?

Tumne mainey sabne ik din
Chod ke jaana hai ye jahaan
Jitna bhi jigri aur gehra ho
Har rishta hai laukik yahaan

Ek Guru shishya ka rishta hee
Sthir hai aur atoot hai
Ismey na toh swaarth hai
Aur na hee koi jhooth hai

Jab idhar udhar kee baatein karein hairaan
Toh apne mann ko samjhaayein
Ki ye sabb toh ik naatak hai
Ismey na khud ko uljhaayein

Khud ke mann kee shanti ke liye
Kar dein doojon ko maaf
Sabke liye ho shudh bhawna
Rakhein apne dil ko saaf

Har kadam har moad par
Guruji hamaare sangg hain
Phir kyun yeh tamasha dekh kar
Hum pareshaan aur dangg hain?

Apne samay ka karein achchaa prayog
Sewa aur Simran mein mann lagaayein
Karam hee hamaare saath jaayenge
Achche karmon kee poonji badhaayein

Simran aur saadhna se badal lein
Jeevan ko dekhne ka nazariya
Dekhna, hamein behtar lagne lagegee
Zindagi kee yeh ajab dagariya

Maya ke is timir ka hoga antt
Uday hoga Guru milan ka savera
Ek din thamm jaayengi ye saansein
Phir kya tera aur kya mera

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Kaahe Ka Gumaan (10/20/2018)

Leave a comment