Hamaari Zindagi Ke Diye Kee Jyoti Hain Aap (10/21/2018)

October 21, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 245

Hamaari Zindagi Ke Diye Kee Jyoti Hain Aap

Pyaare Guruji,

Jo bhi jab bhi bulaaye Aapko
Aap pukaar sunn lete Hain
Jo bhi dil se yaad karey
Usey Aap darshan dete Hain

Jo bhi sawaal ho bhakt ke mann mein
Aap bin uske poochhe jawaab dete Hain
Kabhi koi swapn aur kabhi koi shabad
Sandesh Aapka hamein dete hain

Hum himmat haar jaate hain
Toh Aap sabr ka paath padhaate Hain
Chalte huey hamaare paaon thakk jaate hain
Toh Aap kadam saath badhaate Hain

Itne bhaagyashaali hain hum
Ki Aapke charnon mein jageh milee hai hamein
Aapki kripa se har sangharsh ke baad
Hameshaan suneheri manzil milee hai hamein

Baksh deejiye hamaare gunaahon ko
Aur subudhi keejiye pradaan
Khotey ko bhi kharaa banaa dein
Aap toh Hain itne mahaan

Aapse hee hai udhdhaar hamaara
Aap hee Hain hamaare Bhagwaan
Hum jo bhi hain, jaise bhi hain
Hum sab hain Aapki santaan

Hamaari zindagi ke diye kee jyoti Hain Aap
Hamaare jeevan kee mala ke moti Hain Aap
Sowmya, satya swaroop Shiv avataar Hain Aap
Poojya Parampita Parmaatma paalanhaar Hain Aap

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Hamaari Zindagi Ke Diye Kee Jyoti Hain Aap (10/21/2018)

Leave a comment