November 4, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 259
Har Pal, Har Din Ka Shukrana
Har pal, har din hamaara
Guruji kee dee hui saugaat hai
Kyun hum yeh bhool jaate hain ki hamaari
Unke samaksh nahin koi aukaat hai
Is pal, is din ka shukrana karne ke bajaaye
Hum bhavishya ke tohfe ka karte hain intazaar
Har pal, har din ko achche se bitaane ke bajaaye
Hum keemtee waqt ganvaa dete hain baar baar
Raah par chalne ke liye zaroori hai
Har kadam par dhyan dena
Koi bhi archan aa sakti hai
Kyun naadaani mein khatra mol lena
Kyun na har pal ka shukrana karte karte
Har pal ka sadupayog karein
Kyun na apni tamannaon kee jholi
Guruji ke aashirwaad se bharein
Vikarmon se duur rahein hum hameshaan
Aur kisee ka bhi buraa na chaahein
Kisee kee madad kar sakein toh karein
Kabhi kisee ko haani na pahunchaayein
Ek ek pal, ek ek din jo milta hai hamein
Veh hai Guruji ka diya hua vardaan
Uss pal, uss din mein jee lein hum tum
Lekar Guruji ka divya naam
Guruji Hain parampita hamaare
Hum sab hain Unkee santaan
Unke naam ke sahaare hee hum Paayenge Sachkhand ka param dhaam
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja