November 10, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 265
Kalyaan Hamaara
Kshamaa yaachna kar lein
Hum apne burey karmon kee
Subudhi kee chhaaon mein aayein
Vikarmon kee agni mein na jal jaayein
Samay ka sadupyog karein hum
Mann ko simran mein lagaayein
Niswaarth bhaav ko jaagrit karein
Aur sewa mein lagg jaayein
Waqt toh paani ke budbudey ke jaise
Dekhte hee dekhte beet jaayega
Hum vaheen reh jaayenge
Aur waqt aagey nikal jaayega
Simran aur sewa se hee shaanti milegi
Varna mann bhataktaa reh jaayega
Simran aur sewa se hee shakti milegi
Taaki mann kasht aur peeda seh paayega
Antaraatma bahut shaktishaali hai
Phir kyun isey ksheen hum banaayein
Divyaswaroop hai yeh toh
Phir kyun hum isey moh maya mein phansaayein
Ab bhi samay hai Satsang mein dhyan lagaayein
Na hum vyarth kee baaton mein yoon hee samay ganvaayein
Guruji hamaare kalyaan ke liye hamein sewa simran ka paath padhayein
Veh kahein hum sarvsamarpan kar ke Satsang se jud jaayein
Guruji kee baat maan lene mein hee hai kalyaan hamaara
Guruji hee Hain hum sabka ekmaatra sahaara
Khud bhi jeeyein aur doosron ko bhi jeeney dein hum
Guruji se judne ka nirmal anand lein hum
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja