Guruji Ka Dwaar (11/18/2018)

November 18, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 273

                  Guruji Ka Dwaar

Guru amrit ke ashish mein
Aisa divya jaadoo hai
Jo hamaari atma ko aakarshit kar ke
Karta uspar kaaboo hai

Guru naam ka paawan amrit
Jo shradha aur prem se peeta hai
Chaahe aayein uspar mushkilein hazaar
Veh shukrana mein jeeta hai

Guruji ke aseem pyaar mein
Hai aisee adbhut shakti
Is pyaar ko paakar badh jaati hai
Bhakton kee Guru bhakti

Niraasha ke udaas kshanon mein
Guru naam kee jyot jab jalti hai
Dil mein asha ka sooryodaya hota hai
Gumm kee shaam zaroor dhaltee hai

Aisa tejomayi ujaala hai
Guruji kee sharan mein
Ki swarg ka nazaara dikh jaata hai
Unke paawan charan mein

Poorey Brahmaand mein aur kaheen nahin
Milta aisa niswaarth pyaar hai
Jahaan milta yeh beshumaar hai
Veh buss Guruji ka dwaar hai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ka Dwaar (11/18/2018)

Leave a comment