November 22, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 277
Zindagi Ke Har Pal Ka Shukrana
Hum bhakton par Aapke hain anginat ehsaan
Sach mein, Guruji, Aap Hain itne meharbaan
Detey Hain Aap mata pita ka dulaar
Detey Hain Aap bhai bandhu ka pyaar
Janmadaata bann ne ka shukrana
Annadaata bann ne ka shukrana
Is shareer ka shukrana
Is taqdeer ka shukrana
Hamaare kasht harne ka shukrana
Jholiyaan bharne ka shukrana
Galatiyaan maaf karne ka shukrana
Hamaara dil saaf karne ka shukrana
Sooraj, chaand, dharti, aakash ka shukrana
Andhere mein prakash ka shukrana
Jo jo bhi diya, uska shukrana
Jo nahin bhi diya, uska shukrana
Sewa karvaane ka shukrana
Satsang mein bulaane ka shukrana
Simran ka paath padhaane ka shukrana
Apne galey se lagaane ka shukrana
Raah dikhaane ka shukrana
Jeena sikhaane ka shukrana
Manzil takk pahunchaane ka shukrana
Vaada nibhaane ka shukrana
Har aas ka shukrana
Har ardaas ka shukrana
Har ehsaas ka shukrana
Har shwaas ka shukrana
Guzre huey kal ka shukrana
Aaney waale kal ka shukrana
Jeevan kee halchal ka shukrana
Zindagi ke har pal ka shukrana
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja