December 1, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 286
Unse Unhee Ko Paane Kee Arzi
Jab nirasha tujhe ghere bann kar jeevan mein andhera
Tabb Guru naam se uday hoga asha ka sundar savera
Jabb tu chodega apni βmaiβ aur bann jaayega βkuch nahinβ
Toh dekhna Guruji poori kar denge teri her ruhaani kamee
Dil se sabke kalyaan ke liye tu dua kar
Mushkilon ko dekh kar udaas na hua kar
Tu sunn ne kee neeyat toh rakh, Guruji tujhse baat karenge
Aur Unse praarthana karega, toh Ve teri har baat sunenge
Teri har nirasha se badi aur behtar hai Guruji kee marzi
Buss tu kar Unse Unhee ko paane kee arzi
Ve hongei tere saath toh tujhe aur kuch na chahiye hoga
Tu bilkul bhi na tootega chaahe duniya de de tujhe dhokha
Guruji toh karuna aur mamta ke saagar Hain
Ve sach mein kripa aur gyan kee gaagar Hain
Yaad rakh, tu chod dega jab apna saara ahem
Toh neevanpan sudhaarne lagega tere karam
Zindagi mein safalta ke liye zaroori hai atma vishwaas
Veh aayega jabb Guruji ka hoga tere kann kann mein vaas
Jabb tujhe hoga Guruji kee maujoodgi ka anokha ehsaas
Toh βDhan Dhan Gurujiβ kahega tera har shwaas
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja