Guruji ke liye jo bhaav hai
Usey dil mein kar le mehsoos
Guruji se sachchaa pyaar karega toh
Tera imaan rahega mehfooz
Logon se tu na darna
Koi galat kaam na karna
Sabne apne karmon ka karzaa
Kabhi toh hai adaa karna
Ghor kalyuga ki bela hai
Laukik aakarshanon ka mela hai
Isliye aur bhi hai zaroori
Ki mitt jaaye atma ki kamzori
Jitni karega tu saadhna
Guruji ke dhyan mein hokar leen
Utna hee shant aur sthir tu hoga
Tu kar le is baat ka yakeen
Guruji tujhe bheetar se saaf karenge
Tujhe galatiyon ke liye maaf karenge
Unkee baaton par tu amal karega
Teri jholi hadd se zyada bharenge
Shikaayat chod kar tu kar Unka shukrana
Unko kabhi kisi bhi haal mein na bisraana
Sotey jaagte tu Guruji ka dhyan lagaana
Tera jeevan bann jaayega sundar ruhaani afsaana
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja