Jeevan Mein Kar Le Bhor (01/31/2019)

Har pal mein yeh aaj aur kal
Guzartaa jaa raha hai
Aaj Ka pal banega beeta hua kal
Kyun tu ghabraa raha hai

Kal ka din bhi yoon hee beeta
Na satsang kiya na simran
Saanson ka aitbaar nahin hai
Kyun vyarth ganvaaya jeevan

Aaj bhi neend se jaag ja
Aur naam Guru ka le le
Guru hee toh thaamega
Tujhe tere antt vele

Guruji ki sewa mein nyochhaavar kar de
Har pal, har lamha tu
Guruji ki mahima gaayega
Toh na rahega tanhaa tu

Guruji ke naam ko simar simar
Har saans mein Guru ko basaa le
Kal ka koi bharosa nahin
Tu aaj hee jeevan ka mazaa le

Apna le satya aur saralta ko
Jeevan ka sahi arth pehchaan le
Karmon ka bhugtaan kar le
Aur apne aap ko jaan le

Ho sakey toh kisi ki kar madad
Aur badley mein koi ummeed na kar
Punya ki thaili ko bhaari kar le
Na ki paapon ka ghadaa bhar

Yeh satya hai ki saari srishti ki
Guruji ke haathon mein doar hai
Ab bhi Guruji mein dhyan lagaa le
Jab jaaga tabb bhor hai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja


Guruji Ka Paigaam (01/30/2019)

Guruji ke mukh se bola Gaya har shabd
Unki gur se bhi meethi divya vaani
Unke har sandesh mein hai saralta
Isi se sanvar jaati hai hamaari zindagaani

Muskaan Unki itni pyaari aur khoobsoorat
Jaise anginat phool gaye hon khil
Sandesh yeh aisa deti hai ki
Hamein har uchit khushi jaayegi mil

Guruji ke prem bharey divya chakshu
Jab daalein bhakton par nazar
Tarr jaayein hum Unki karuna se
Aisa hai Unki drishti ka asar

Unke komal aur mehekte haath
Jo detey hain hum bhakton ko ashirwaad
Shakti itni aseem hai unmey
Ke jeevan daan ka dein Ve prasaad

Noor Guruji ke maathe par itna tez ki
Ki zarra zarra dil-o-jaan ka roshan ho jaaye
Unhe dekhte dekhte Unki aankhon ki gehraayi mein
Bhakt ek pal mein hee Unme kho jaaye

Guruji ka sakaash itna shaktishali
Ki veeraane mein bhi aa jaaye bahaar
Har kshan Ve humko yaad dilaatey
Ki yeh jeevan hai anmol uphaar

Sabse badi baat toh yeh hai
Ki Unki chhavi mein basey hain Bhagwaan
Ishwar hee satya hai, Satya hee Ishwar hai
Aayiye, samjhein Guruji ka yeh paigaam

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aao Karein Sankalp (01/29/2019)

Itne mahaan hain Guruji hamaare
Hum jeevit hain Unke sahaare
Unhonei hee sabke kaaj sanvaare
Har pal dil Guruji ko pukaare

Koi na bach saka Unkee nazar se
Sab surakshit hain Unki nadar se
Paakhandi ko dein Ve sudharne ka mauka
Jhooth aur fareb ko Unhonei sadaa hai toka

Hum toh tuchh praani hain
Atma par lagein hain daag
Jeevan ke rangg manch par aayein hain
Naatak mein lene bhaag

Kyun na apna kirdaar nibhaate chalein
Kar ke yeh dridh sankalp
Ki sadaa Guruji ki agya ka karein paalan
Aur kabhi na karein vikalp

Baaki toh hum bhakton ke haath mein hai
Ki hum Unka kahaa maanein ya nahin
Insaan chaahe jitna bhi budhimaan ho
Guruji jo kahein vahee hai sahee

Isliye Guruji ke vachan ke anusaar
Kyun na de dein Unhei sochne ka bhaar
Apni akal aur ahem nahin kisi kaam ka
Guruji ki sharan mein sukh hai chaaron dham ka

Guruji ke gunn gaate gaate zindagi jaaye guzar
Guruji ke charnon mein anand aata hai is kadar
Ki Guruji ka hee lete rahein hum naam
Har pal, har ghadi, har subah, har shaam

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Gurubhakti Se Atma-Shakti (01/28/2019)

Shareer ki maati mein
Saanson ka beej boya
Charitra ki jadon ne
Uss maati mein ghar piroya

Zindagi roopi vriksh par
Laukik sukh dukh ke patte aaye
Guruji ne uphaar ke roop mein
Khatte meethe phal upjaaye

Kalyuga ki aandhi jab se hai chalne lagee
Har vriksh par aayee hai vipdaa bhaari
Jin vrikshon ki jadon mein atmashakti hai
Vahee kar sakenge bachne ki tayaari

Guruji ki sharan mein hee mil sakti hai
Veh ati- aavashyak atmashakti
Vahee insaan nidar hokar jee sakta hai
Jiske mann mein ho sachee Gurubhakti

Hamaare charitra ki jadein mazboot hongi agar
Toh lobh, jhooth, laalach na kar sakega hamaara nuksaan
Guruji madadgaar hain hamaare
Ve hee surakshit rakhenge hamaara imaan

Buss hamein maan-na hai Unka kehna
Chaahe hamein kuch bhi padey sehna
Jisne pehna shradha se Guru naam ka gehna
Uske angg sangg sadaa Guruji ne hai rehna

Phir aa jaaye chaahe ghanghor toofaan
Guruji rahenge Apne bhakt par meharbaan
Uski satyanishtha ki aisi hogi daastaan
Ki fakr se jhoom uthega aasmaan

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Sangat Ka Sahaara Guruji (01/27/2019)

Guruji ne is dharti par
Maanav roop mein janam liya
Anginat dukhiyaron ko Unhonei
Apni karuna ka marham diya

Guruji ki anukampa aprampaar
Guruji hamaare bakshanhaar
Vahee hamaare janamdata
Aur Ve hee hain annadata

Har janam mein hain Ve naath hamaare
Har pal har kadam par saath hamaare
Har kshan Unko dhyan hamaara
Brahmand ka Unhe hai gyan saara

Apni ek nazar se karte
Bhakton ka beda paar
Unki karuna aur kripa se
Chal raha hai yeh sansaar

Kalyuga ke bhanvar mein dolein hum
Guruji ke alaawa na hai koi hamaara
Niraasha aur nasoor se ghirey hain hum
Guruji hee hain ekmaatra sahara

Guruji ki leela par rakh vishwaas
Zindagi ka safar taiy karte chalein
Jo bhi daat Guruji ne hai bakshee
Uss-se apni jholi bharte chalein

Dekhte hee dekhte samay beet jaayega
Insaan par vijay paakar waqt jeet jaayega
Khushnaseeb hain hum ki Guruji ne liya hamein thaam
Kyunki waqt toh khud hee karta hai Guruji ko salaam

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Nadar Karein (01/26/2019)

Guruji Aapki mehre-nazar
Sadaa sadaa rahey hum par
Hamaari zindagi ka safar
Rahey suneheri yaad bann kar

Shukrana karte rahein Aapka
Chaahe raahon mein milein shool
Aapki kripa se ve bhi bann jaayenge
Sundar aur sugandhit phool

Aapki ichchaa se chaley sansaar
Aapki marzi se hee janam maran
Aapke vachan rakhein hum yaad
Aur unka karein hum anusaran

Sukh aur dukh dono ko maan lein
Aapka diya hua prasad
Aapki razaa mein khushi se raazi rahein
Yahee hai ab fariyaad

Hamaare labhon pe ho har pal Aapka naam
Aapka naam lekar karein hum apna har kaam
Har kaam ka parinaam bhi kar dein Aapko arpan
Aapka simran karte karte kar dein sarvasamarpan

Aapki sewa ka sammaan karein
Aapki Mahima ka gungaan karein
Simran mein apna dhyan dharein
Har suvidha ka maan karein

Aapki kripa se dukh ki bela mein bhi himmat aaye
Aapki meher se gumraah ko raasta mil jaaye
Aapki karuna se har murjhaaya phool khil jaaye
Aap nadar karein toh jeevan safal ho jaaye

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ka Bhana (01/25/2019)

Mere Guruvar ki leela badi niraali
Aur Mahima Unki aprampaar
Jab bhi aaye Unke dar par sawaali
Uska ho jaaye beda paar

Guruji mere hain itne sundar
Ki chaand ki sundartaa bhi kum laagey
Har phool ki khushboo feeki pad jaaye
Mere Guruji ki divya mehek ke aagey

Aankhein Unki rahasyamayee
Abhamandal mangalmayee
Maathe par aisa pyaara aur divya noor
Karey jeevan ke har andhere ko duur

Srishti mein Unke jaisa koi kripaalu nahin
Sach mein Unke jaisa koi dayaalu nahin
Itni peeda Ve bhakton ke liye hain sehte
Pyaar se hamein β€˜Kalyaan Kitta’ hain kehte

Mere Guruji toh hain urjamayee divya jyot
Sweekaarein Ve hamaari naadaani aur khot
Detey hain Guruji sudharne ka mauka
Ve hain sadaa sangg, chaahe duniya de de dhokha

Unkee taareef mein jitna kahoon veh kum hai
Prem aisa umdey ki meri aankh num hai
Unki mahima toh hai apaar aur anant
Bahut hee paropkaari hain hamaare Bhagwant

Dua hai yeh meri ki mil jaaye sabko
Guru kripa ka anmol khazaana
Mujhe toh bahut hee meetha laagey
Mere pyare Guruji ka bhana

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Taaranhaar Guruji (01/24/2019)

Boond boond se ghadaa bharey
Bin Guru ke insaan kaise tarey
Tarr kar phir veh jiyey ya marey
Paayega Guruji ko saath khadey

Insaan ke sadbhaav se bhar jaaye
Yeh sansaar roopi saagar
Jispar sadaa raaj karey
Guruji ki mamta ki gaagar

Is gaagar se behta jaaye
Unke sneh ka amrit har pal
Guruji ki meher barasti jaaye
Aur bhakton ke kasht jaayein tal

Vishwaas mein aisi shakti hai
Jo har shankaa ko toad de
Jisko thaama Guruji ne
Usko saara jag chaahe chod de

Veh shaqs Guruji ke charnon mein
Sadaa sukoon paayega
Usko toh kalyuga mein bhi
Koi bhaiy na sataayega

Nidartaa aur bharose se veh
Guruji ke sahaare jiyega
Lobh ke vish se bach kar veh
Santushti ka amrit peeyega

Apna nishchay atal hoga toh
Guruji ki hogi itni meharbaani
Ki krodh moh ahankaar ke bhaav
Bann jaayenge ateet ki kahaani

Guruji ki leela se sach mein
Insaan apni divyataa ko pehchaanega
Guruji sabke taaranhaar hain
Sansaar ek din zaroor jaanega

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Malang (01/23/2019)

Khushi toh ek titli ke jaisi hai
Pakadne ki koshish karein toh haath mein na aaye
Itminaan se baithein agar dhyan lagaakar
Toh shaayad khud hee jholi mein aa jaaye

Jitna hamaara chitt hoga shaant
Utna anandmayee hoga ekant
Uss anand ki nirmaltaa hogi behisaab
Jaise ki koi sundar haseen khwaab

Guruji toh hain har pal saath dene waale
Vahee hain hamaare karmon ka bhaar lene waale
Kardein jee aur jaan Unhee ke havaale
Unki sharan mein dekhein divyata ke rangg niraale

Jab Guruji ki marzi se saans hai
Phir hamein zindagi ki fikr kyun
Jahaan Guruji par vishwaas hai
Vahaan par chinta ka zikr kyun

Khushi jab dwaar par aaye
Toh uske kadam choom lein
Guruji ki razaa mein raazi hokar
Ruhaani masti mein hum jhoom lein

Buss, behte rahein zindagi ki leheron ke sangg
Dekhte rahein duniya ke badalte rangg
Guruji se judey rahein aur saral rakhein apne jeene ka dhangg
Sewa aur simran ki madhur dhun mein mann ko kar dein malang

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Niyati Ke Nirmaata (01/22/2019)

Guruji ko apni zindagi ka
Kora kaagaz soump dein
Unhee ko samarpan kar yeh jeevan
Unki goad mein chayn lein

Apni marzi se likh denge jo bhi
Guruji uss koray kaagaz par
Usey hee maanenge hum niyati hamaari
Jhuka kar Unke charnon mein sir

Guruji ko sab kuch kar denge samarpan
Saump denge Unhe jeevan ki doar
Kismat ka taala khul jaayega
Na jaana padega kaheen aur

Hamaari niyati likhne aur sudhaarne ka
Sirf Guruji ko hee hai adhikaar
Vahee toh hain rakshak hamaare
Vahee hain hamaare madadgaar

Guruji hee hain jo hameshaan
Hamaare bhale ke baare mein sochenge
Vahee toh hain jo hamaare sankat mein
Sadaa hamaare paas pahunchenge

Andhkaar jeevan ka mitaayenge Guruji
Udhdhaar ki raah dikhaayenge Guruji
Patit se paawan banaayenge Guruji
Banjar mein upvan khilaayenge Guruji

Sach mein, Ve hamaari niyati ke nirmaata hain
Janmadaata bhi Ve hain aur annadaata bhi hain
Nirmal hain, komal hain, taral hain Guruji
Srishti ke sabse sundar divya kamal hain Guruji

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja