Aye mannva tu pareshaan na hona (01/02/2019)

Aye mannva tu pareshaan na hona
Tere Guruji tere saath mein hain
Kabhi bhi tu dheeraj na khona
Tera haath Guruji ke haath mein hai

Jab bhi tere saamne duvidha aayegi
Guruji dikhaayenge tujhe raasta
Isliye tu niraash na hona
Tujhe hai teri bhakti ka vaasta

Jab kabhi andhere se ghir jaayega tu
Guruji jalaayenge gyan ki roshni ke diye
Isliye tu udaas na hona
Guruji sab kuch karenge tere liye

Aye mannva tu pareshaan na hona
Tere Guruji ne tujhe apnaaya hai
Tere koi karam toh achche rahei hongei
Jo toone Guruji ko paaya hai

Agar tu karne lagega koi galat kaam
Guruji chetaavani denge tujhe
Tere uddhaar ke liye har janam mein
Guruji sharan mein lenge tujhe

Jab bhi tu Unhe yaad karega
Guruji daude chalein aayenge
Bannkar tera suraksha kavach
Teri mushkil ko duur bhagaayenge

Aye mannva tu pareshaan na hona
Jab Guruji neembu ke jaise nichod denge
Kyunki teri jaan bachaane ke liye
Ve Yamraj ki bhi baahein marod denge

Jab bhi tu bhatakne lagega
Guruji tujhe sewa simran satsang ki yaad dilaayenge
Tu kar dega Unhe poorna samarpan
Toh Guruji tujhe mamta ka amrit pilaayenge

Jab sataaye tujhe agley pal ki soch
Guruji chinta duur bhagaayenge
Isliye tu anand le zindagi ke safar ka
Guruji manzil takk pahunchaayenge

Aye mannva tu pareshaan na hona
Tere Guruji tere paalanhaar hain
Har saans mein kar shukrana Unka
Ve tere murshid aur parwardigaar hain

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Leave a comment