Brahmand Ke Shehenshaah (01/04/2019)

Rooh se nikalti hai awaaz
Dil ki taar se bajta hai saaz
Guruji ka itna pyaara hai andaaz
Na jaane kya hai iska raaz

Unki divya khushboo, kabhi gulab kabhi chandan
Unka swapn mein aana, Unka divya komal spandan
Kabhi lagte Ve Sai, kabhi lagte Raghunandan
Har roop mein jag karta Unka vandan

Sneh Guruji ka aisa ki aankhein namm ho jaayein
Leela Unki aisi ki sabke dukh kumm ho jaayein
Khushiyaan aise aayein ki sab gumm kho jaayein
Karuna Unki aisi ki shukrguzaar hum ho jaayein

Baahar se pehle bheetar se hamein saaf karein
Hamaare gunah baksh kar Ve hamein maaf karein
Hamaare kasht Apne par lekar hamaare dukh harein
Hamaari zindagi ke liye Ve maut se bhi ladein

Guruji hamaare hain itne mahaan
Is sach se na raha koi bhi anjaan
Ik din jaan jaayega sara jahaan
Guruji hamaare hain sab par meharbaan

Unse kuch maangne ki nahin zaroorat
Unpar na chale kisi ki hukoomat
Ve hee ujala hain sooraj aur chand ke
Ve toh shehenshaah hain Brahmand ke

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Leave a comment