Guru Prem Ka Dhan (01/12/2019)

Guruji ka tu kar le dhyan
Kyun samay ko vyarth ganvaay
Aur kisi ne tere kaam na aana
Keval Guruji hee sadaa sahaay

Apni antaratma ko lagaa le saadhna mein
Aur kar le Guruji ka tu vandan
Guruji ke naam ko apne dil mein samaa le
Jaise chandan ki lakdi mein chandan

Niklega jab Guru naam ke baan se
Yeh atma roopi teer
Chhoo lega divya jyoti ke lakshya ko
Toh teri sanvar jaayegi taqdeer

Divya jyoti ke spandan se
Har ruhaani tamanna hogi poori
Guruji ki is dein se teri
Koi chaahat na rahegi adhoori

Guruji mein ramm kar tera mann
Guruji ki dhun mein kho jaayega
Tujhe praapt hoga Guru prem ka dhan
Tera sach mein kalyaan ho jaayega

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji šŸ™šŸ»šŸ™šŸ»
Dhirja

Leave a comment