Khila Rahei Sansaar (01/20/2019)

Shareer ka libaas odh kar
Atma dharti par janam leti hai
Har janam mein moksh paane ka
Swayam ko mauka deti hai

Kaam krodh lobh ke chakkar mein
Bhatak jaati hai aksar
Moh aur ahankar mein phanskar
Isey milta na mukti ka avsar

Hindu muslim sikh aur isaayi
Yeh mazhab ki deewaar insaan ne banaayi
Tabhi toh kisi ne bhi nahin paayi
Khuda ki meharbaan khudaai

Kyun na hum apnaayein
Insaaniyat ka dharam
Hamaara har kaaj ho
Ruhaaniyat ka karam

Guruji chaahein ki hum rahein vikaaron se duur
Guruji toh dena chaahein hamein Apna noor
Toh kyun na vikaaron ko hum tyaag dein
Kyun na apni unnati mein hum bhaag lein

Guruji ke sneh se jag ka nazara ho nyara
Har bhakt ho paak aur Guruji ko ho pyara
Phir kya din ka sooraj aur kya raat ka tara
Har pal hee anand se khila rahei sansaar hamaara

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Leave a comment