Niyati Ke Nirmaata (01/22/2019)

Guruji ko apni zindagi ka
Kora kaagaz soump dein
Unhee ko samarpan kar yeh jeevan
Unki goad mein chayn lein

Apni marzi se likh denge jo bhi
Guruji uss koray kaagaz par
Usey hee maanenge hum niyati hamaari
Jhuka kar Unke charnon mein sir

Guruji ko sab kuch kar denge samarpan
Saump denge Unhe jeevan ki doar
Kismat ka taala khul jaayega
Na jaana padega kaheen aur

Hamaari niyati likhne aur sudhaarne ka
Sirf Guruji ko hee hai adhikaar
Vahee toh hain rakshak hamaare
Vahee hain hamaare madadgaar

Guruji hee hain jo hameshaan
Hamaare bhale ke baare mein sochenge
Vahee toh hain jo hamaare sankat mein
Sadaa hamaare paas pahunchenge

Andhkaar jeevan ka mitaayenge Guruji
Udhdhaar ki raah dikhaayenge Guruji
Patit se paawan banaayenge Guruji
Banjar mein upvan khilaayenge Guruji

Sach mein, Ve hamaari niyati ke nirmaata hain
Janmadaata bhi Ve hain aur annadaata bhi hain
Nirmal hain, komal hain, taral hain Guruji
Srishti ke sabse sundar divya kamal hain Guruji

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Leave a comment