Guru Kripa Se Ho Savera (02/03/2019)

Bahut hee kismat se milta hai
Kisi ko yeh maanav janam
Aur bhi achchee kismat ho toh
Praapt hota hai Guru dhan

Guruji bin kaise tarey yeh jeevan
Kaise katenge karam
Guruji ne haath jo thaam liya toh
Unka naman hai param dharam

Kyun tu bekaar ki baaton mein
Ye anmol lamhe ganvaaye
Shareer toh raakh ki dheri bannkar
Maati mein jaata samaaye

Udhdhaar hoga uska
Jo Guruji mein dhyan lagaaye
Guruji ki sharan mein aakar
Beda paar ho jaaye

Duniya toh moh maya ka hai dera
Yahaan kuch nahin tera ya mera
Guruji ke bin har pal hai andhera
Guru kripa se hee hota hai savera

Jo bhi hai yaheen dharaa rahega
Jab praan jaayenge chhoot
Nirmal naata jod Guruji ke sangg
Ek yahee rishta hai atoot

Har saans mein simar Guruji ka naam
Har pal mein Guruji ka kar le dhyan
Vahee satya aur paak hai jo Guruji denge gyan
Jisey Guruji mil gaye, usey mil gaya Bhagwaan

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Leave a comment