Guruji toh tere naath hain
Ve sunenge teri pukaar
Tu buss Unhee se fariyaad kar
Tu har pal Guruji ko yaad kar
Guruji hee tere kaaj sanvaarenge
Sabse pehle Unhe yaad kar
Baaki sab iske baad kar
Tu har pal Guruji ko yaad kar
Guruji karuna ka saagar hain
Unki kripa aur meharbaani se
Tu apna jeevan aabaad kar
Tu har pal Guruji ko yaad kar
Duniya ka kya bharosa hai
Aaj sangg hai toh kal nahin
Isliye vyarth na tu apne jasbaad kar
Tu har pal Guruji ko yaad kar
Guruji hee tere maargdarshak hain
Unhee ke bharose pe aye bande
Tu khadi jeevan ki buniyaad kar
Tu har pal Guruji ko yaad kar
Guruji tujhe jo bhi detey hain
Usme Unka ashirwaad basaa hai
Tu khushi se grehen Unka prasad kar
Tu har pal Guruji ko yaad kar
Jab bhi yaad karega tu Unko
Guruji ko apne sangg paayega
Isliye ab aur waqt na barbaad kar
Tu har pal Guruji ko yaad kar
Guruji ne tujhe dee hain yeh saansein
Isliye Unka beintehaa shukrana kar
Tu qubool Unki har saugaat kar
Tu har pal Guruji ko yaad kar
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja