02/28/2018 and Jai Jai Guruji Dugri Waale (02/28/2019)

Feb. 28, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj ka suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Guruji Ki sharan mein jaise hi hum aaye
Hamaare jeevan Ki bagiyaa khil gayi

Unhonei kahaa, β€œTera kalyaan kitta”
Toh jahaan Ki har khushi mil gayi

Ab har saans mein pyaare Guruji ka hai naam
Unhee ko yaad karein, chaahe subah ho ya ho shaam

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai GurujiπŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Dhirja

02/28/2018

February 28, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

            Jai Jai Guruji Dugri Waale

Jai Jai Guruji Dugri waale
Apne bhakton ke rakhwaale
Aapne sangat ke kaaj sambhaale
Har bhakt Aapko dil mein basaa le

Pyaare Guruji Aap hain Shiv avataari
Nandi ji hain Aapki savaari
Sach mein Aap hain leeladhaari
Aapke saamne har vipda haari

Dhan Dhan Guruji Aap hain pyaare
Sharan mein Aapki hain sukh saare
Aapki leela hamaara jeevan sanvaare
Aapke ruhaani rangg Hain nyaare

Sarvagyani Guruji Aap toh sab kuch jaanein
Khush hain ve jo Aapka kehna maanein
Chaahe yeh duniya deti hamein taaney
Hum toh phir bhi hain Aapke deewaane

Sarvavyapi Guruji Aapne sabko taara
Aapke bharose chal raha hai jeevan hamaara
Jab bhi hum bhakton ne Aapko pukaara
Aap sadaa aaye hamein dene sahaara

Parwardigaar Guruji Aapki aseem hai shakti
Aapki har razaa se hamein miley tripti
Aur hum karein Aapki niswaarth bhakti
Aur hamein mile janam maran se mukti

Waah Waah Guruji Aapka saath
Aap hee hain hum sabke naath
Aapse duur ho agyan kee raat
Hamaare sir par rahey sadaa Aapka haath

Jai Jai Guruji Dugri waale
Aapka deedar kismat badal daale
Aap hain bahut bade dil waale
Abb toh jeena marna sabb hai Aapke havaale

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jai Jai Guruji Dugri Waale

Leave a comment