Om Namaha Shivaya (02/18/2019)

Mantron ka raja hai
Om Namaha Shivaya
Iska uchchaaran karne se
Bhog aur moksh mil jaaye

Naarad muni ne sikhaaya
Yeh mantra Maa Parvati ko
Taaki Unhe Shivji sweekaarein
Aur phir Unki sadgati ho

Mata Parvati ne japaa
Yeh mantra sainkdon saal
Tabb Himalaya aur Maina ka
Hua atyant bura haal

Bahut koshish kee Unhonei
Beti Uma ko behlaane ki
Lekin nishchay Unka pakka thaa
Unhonei isliye mannmaani ki

Naarad aur Vishnu gaye
Anek Devon ke saath
Manaane Shivji ko taaki
Ve thaamein Parvati ka haath

Saptrishiyon ki madad se
Shiv ne liya Uma Ma ka imtehaan
Mata ke bhaav se khush hokar
Rishiyon ne diya Unhe vardaan

Phir MahaDev ne dhaaran kiya
Ek gareeb brahmin ka vesh
Pahunche Veh bhi Uma ke paas
Machaane jhootha klesha

Uma maa ko uss brahmin ne
Shivji ke khilaaf kaha itna buraa
Lekin Mata apni baat par adig rahi
Aur hua Unka swapn poora

Shivji ne sweekaara Unko
Aur pahunche Ve swadesh
Jahaan par Unhonei devtaaon ko
Pahunchaaya yeh pyaara sandesh

Guruji ne diya hai beej mantra
Jo sabb kashton ka hai upaay
Om Namaha Shivaya ke baad bolo
Shivji Sadaa Sahaay

MahaSamadhi ke pashchyaat Sangat jabb Guruji ko dhyay
Toh pyaar se sabke labhon par aaye
Om Namaha Shivaya Shivji Sadaa Sahaay
Om Namaha Shivaya Guruji sadaa Sahaay

Is mantra ke kehne sun-ne se
Har sankat mit jaaye
Phir kyun na hum japey yeh mantra
Guruji se shikaayat karne ke bajaay

Itna mahatvapoorna hai
Yeh panchaakshar mantra
Karey manokaamana poori aur hai
Mukti paane ka yantra

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guru Bhakti Ki Dastaan (02/17/2019)

Yeh kahaani hai ek shaqs ki
Jo Guruji ke kamal charnon mein aaya
Gyaat nahin thaa tabb usko ki saara
Brahmaand hai unn charnon mein samaaya

Jabb huey Guruji ke paawan darshan
Tabb prafullit ho gaya uska mann
Deeptiheen kismat yoon chamakne lagee
Jaise ki chamachamaata kanchan

Dukh toh uske jeevan mein aane thei
Karmon ka hisaab chukaane ke liye
Lekin Guruji ki chhatarchhaya mein
Usey jagah mili sir jhukaane ke liye

Subah shaam leta raha
Guruji ka naam baar baar
Guruji ki dee hui himmat se
Veh har mushkil ko kar gaya paar

Guruji ko samarpan kar ke sab kuch
Usey chayn ki neend aane lagee
Guruji ne liya usey apni sharan mein
Aur uskee har chinta bhi jaane lagee

Gupt sewa aur daan mein leen hokar
Gupt paath veh karta raha
Guruji ke aashirwaad se
Jholi apni bharta raha

Kshamaasheelta aur sehensheelta ko
Veh apne jeevan ka hissa banaane lagaa
Krodh lobh moh maya tyaagkar
Sachkhand ke sapne sajaane lagaa

Ahankaar ke raavan ko jalaakar
Usne neevenpann ko apnaaya
Keval Guruji ki sharan mein sukh hai
Usey yeh sach samajh mein aaya

Zindagi ke har lamhe ko
Guruji ki daat usne maani
Chod diya phir usne peena
Ghat ghat ka paani

Buss Guruji mein dhyan lagaakar
Apni zimmedaariyaan nibhaata gaya
Dekhte hee dekhte Guruji ka noor
Uske shareer aur atma par chhaata gaya

Kalyuga ke maadey waqt mein bhi usey
Mili laukik janjaalon se mukti
Guruji ki leela se veh nikhar gaya
Unki bhakti se usey mili aseem shakti

Hum bhi Guruji mein hee ramm jaayein
Taaki Unki leela ka hum par ho asar
Hum bhi tarr jaayein aur mokshdaayee ho
Hamaari zindagi ka yeh safar

Guruji ne pukaara hai humko
Ek pal ka bhi na karein vilambh
Unki karuna aur kripa se karein
Jyotirmay jeevan ka shubh aarambh

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Samay Ki Hera Pheri (02/16/2019)

Yeh duniya aur ye duniya waalon ka nazaara
Chalchitr ki bhanti badalta rahega
Jo shaqs darshak bann jaayega
Veh anand se isey dekhta rahega

Jhooth ka sahaara lekar toh
Is duniya mein kaam shaayad chal jaayega
Lekin jhooth ke bal par koi bhi
Kabhi sachkhand ko nahin paayega

Kyunki asal khazaana Guruji ke paas hai
Unhee ke vash mein hamaari har shwaas hai
Baaki toh sab ek mayavee aadambar hai
Paani ki boond ki tarehn kshanbhangur hai

Kyun na hum sab Guruji ko
Prem aur shradha se yaad karein
Unke charnon mein jageh mil jaaye
Unse yeh fariyaad karein

Guruji ke simran se milegi shakti
Aur gupt sewa se nikhar jaayegi bhakti
Satsang mein Guruji ki mahima gaayein
Guruji ke dhyan mein magn ho jaayein

Jeevan yakeenan aasaan nahin hai
Guru kripa hee hamein mazboot banaaye
Varna karmon ki leela kaun jaane
Sahi samay kabhi aaye ya na aaye

Sach mein koi na samajh sakaa
Karmon aur samay ka hisaab
Lekin Guruji ke samaksh toh
Sabka hisaab hai khuli kitaab

Veh bhakt yakeenan sukhi reh sakta hai jo
Guruji ki madad se samay ko sahee banaaye
Guruji sach mein antaryaami hain
Unka koi vachan khaali na jaaye

Guruji ke nakshe kadam par chalte jaayein
Unke protsaahan se swayam ko mazboot banaayein
Haalaat toh jabb badlenge tabb hee badlenge
Tabb takk yoon hee samay kyun vyarth ganvaayein?

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Hain Sachche Meet (02/15/2019)

Guruji hee dikhaayein raasta
Unhee ki karuna se miley riddhi
Guru kripa se atma ho shuddh
Aur praapt ho ruhaani siddhi

Guruji ke vachan se milti buddhi
Aur rangg laati hai bhakti
Guruji ke naman se miley shanti
Aur kasht sehne ki shakti

Guruji se milta divya prem
Aur gyanmayee prakash
Guruji badhaayein sehensheelta
Aur dein paawan sakaash

Guruji ki leela se sach ho jaayein khwaab
Aur jeevan mein aaye khushi
Guruji ke prem se badh jaaye haunsla
Aur labh par aa jaaye hasee

Guruji ke satsang se uday ho ummeed
Andhere mein ho jaaye ujaala
Guruji mein hee bastaa hai Rabb
Aur Guru hee hai rakhwala

Guruji ke simran se miley protsaahan
Aur jaagey saanchi preet
Guruji se hee paayein hum manzil
Kyunki Guruji hain sachche meet

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Dil Mein Basey Hain Guruji (02/14/2019)

Guruji ke sangg bandh gayi
Jabse atma ki doar
Tabse dikhaayee dete hain
Guruji hee chaaron oar

Jab se basey hain Guruji
Is nacheez ke dil mein
Buss, Unhee ki pooja hoti hai
Mann ke is mandir mein

Hain Devon ke Dev Guruji
MahaShiv ka hain avataar
Taarein Apni ek nazar se
Itna dayaalu hai Unka pyaar

Guru bhakti ke prem mein
Dhanya ho jaaye jeevan
Guruji ki divya chhavi se
Ujjwal rahei sadaa mann

Na suni jaati mujhse shikaayat Unki
Zindagi bann chuki hai ibadat Unki
Yeh jeevan hai buss inaayat Unki
Ab toh har saans aati hai lekar ijaazat Unki

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Saare Jahaan Mein Sabse Pyaare (02/13/2019)

Kalyuga ke kashmakash ki bela mein
Guruji hain hamaare ekmaatra sahaare
Laukik aakarshan ki bhaag daud mein
Hum apne dil ki shanti ko haare

Kisi ek ke nahin hain Guruji
Ve hain tumhaare aur hamaare
Hamein suraksha dene ke liye
Ve khadein hain Apni baahein pasaare

Hum insaanon ki koi aukat nahin
Hum toh hain karmon ke maare
Batwaara hua saagar ka aur dharti ka
Guruji dekh rahein hain ye nazaare

Guruji ne pyaar ka raasta hai dikhaaya
Par keval kuch hee samjhey Unke ishaare
Vikaaron ka vish kuch aisa hai phaila
Ke beemaar hokar sab huey bechaare

Toofan aisa hai aaya jagg mein
Kaise kisi ki kashti lagey kinaare
Kar dein kuch Guruji apni leela se
Ki bachh jaayein saare ke saare

Guruji na bhoolein ek pal bhi hamein
Kaash yeh mann kabhi na Unhe bisaare
Antaratma ko sukh aur chayn milta hai
Ab toh sirf Guruji ke dwaare

Aao sab chalein neki ki dishaa mein
Jahaan Guruji ka pyaar hamein pukaare
Saare jahaan mein sabse pyaare
Humko laagein Guruji hamaare

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Udhdhaar Kijiye Hamaara (02/12/2019)

Kalyuga ka samay hai aaya
Ghabraa raha insaan
Haath thaam lijiye hamaara Guruji
Aap hain hamaare Bhagwaan

Bahut bhatke hain hum sach mein
Ho gaye hain hum pareshaan
Ab hamaari vinti sweekaariye
Ab aur na lijiye imtehaan

Paap kiye hain hum sabne
De dijiye kshama ka daan
Jaise bhi hain hum, hain Aapke bachche
Kripa kar hum par rahiye meharbaan

Apni antaratma ko roshan kar lein
Samaa kar usme Aapka diya hua gyan
Sewa Simran satsang mein jeekar
Rakhein hameshaan Aapka maan

Kitna achchaa ho jaaye agar
Vikaaron ka na rahey naamo nishaan
Har oar ho pyaar aur shanti
Har jann mein basey nivaan

Guruji Aapko samarpan kar dein
Hum yeh jeevan aur yeh jaan
Achche aur burey ki humko
Aapki kripa se ho pehchaan

Aap par kar ke poorna vishwaas
Aapka kehna jaayein maan
Udhdhaar kardijiye hamaara
Taaki hum paa sakein nirvaan

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Soorajmukhi Se Seekhein (02/11/2019)

Guruji ne banaayee hai itni nyaari srishti
Har cheez par padti hai Unki dayaalu drishti
Sabka dhyan rakhein Guruji mamta aur sadbhaav se
Ped paudhe bhi saans
lete hain Unke divya prabhaav se

Kabhi soorajmukhi ke phoolon ko dekho dhyan se
Mud jaate hain ve sooraj ki kirnon ki oar
Aao hum seekhein is paawan gyan se
Chalo Guruji se jodein apni doar

Jab baadal chchaa jaate hain akash mein
Aur sooraj bhi chhup jaata hai
Toh soorajmukhi na murjhaata hai
Na niraasha mein sir ko jhukaata hai

Har phool dooje phoolon ki taraf
Dekhne lagta hai umang ke saath
Bagiya ke soorajmukhi ek dooje ki urja se
Khiley rehne ki kar lete hain baat

Buss, isliye koi bhi soorajmukhi
Nahin hai murjhaata
Baarish bhi aa jaaye chaahe
Ek phool dooje ka saath nibhaata

Prakriti ki is pyaari leela se
Kyun na seekhein hum sabb
Ek dooje ki hum madad karein
Guruji kitne khush hongei tabb

Kyun na is maanav jeevan mein
Hum ek dooje ke liye soorajmukhi bann jaayein
Guruji baagbaan hain hamaare
Kyun na Unki phulwaari ko mehekaayein

Aao har taraf Guru gyan ke diye
Guruji ke ashirwaad se jalaayein
Soorajmukhi se hum kuch seekh kar
Is dharti par swarg banaayein

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ki Marzi (02/10/2019)

Guruji ke dwaar par bhakt laayein arzi
Uske baad phir jaise Guruji ki hai marzi
Vahee manzoor karte hain Ve, jo bhakt ke liye sahi ho
Bhakt ko yeh samajhna hoga, taaki veh niraash nahin ho

Agar bhakt jann zidd karenge, aur kuch maangenge baar baar
Toh Guruji ko majbooran sunn-ni padegi unki pukaar
Phir chaahe veh maang uchit ho ya nahin
Guruji maan lenge bhakton ki kahee

Guruji sarvagyani hain, hai Unki divya drishti
Unhee ki kripa se chal rahi hai yeh poori srishti
Maango nahin, maano, jab Guruji humse hain kehte
Phir kyun hum Unki marzi mein khush nahin hain rehte?

Unhee par sab chod dene mein hee apni bhalaayee hai
Jinhonei aisa kiya hai unka jeevan bada sukhdaayi hai
Jab hamaare jeevan mein Guruji ka hai Khuda ka oudaa
Toh phir Unki baat maan-na hai bahut munaafey ka sauda

Guruji bin maange denge jo hamaare liye hai achchaa
Unka toh har bhakt ke liye pyaar hai bilkul sachchaa
Kyun na Unki marzi ko sweekaarein kar ke hum shukrana
Na ki dhoondte rahein hum shikaayat ka bahaana

Buss phir dekhenge hum Guruji ki leela ka asar
Ve hamein har khushi dene mein chodenge na kasar
Hamaare kashton ko Guruji kum karte karte
Apne ashirwaad ka haath hum par dharte dharte

Ve sukhdaayee banaa denge jeevan hamaara
Aur shaant aur tript ho jaayega mann hamaara
Hum kashton aur museebaton ko himmat se sahenge
Aur hameshaan ‘Waah Waah Guruji’ kehte rahenge

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Maalik Ka Kehna Maanein (02/09/2019)

Kya karenge duniya ko jaan kar
Pehle apne aap ko toh pehchaanein
Kuch nahin hoga badi badi baaton se
Pehle Guruji ka kahaa sunein aur maanein

Jaanein ya na jaanein hum
Har pal ek imtehaan hai
Guruji sab kuch dekh rahei hain
Kyunki Ve swayam Bhagwaan hain

Har maa baap ye chaahein
Ki pareeksha mein safal ho unka bachchaa
Hum jeevan ke imtehaan mein ho kaamyaab
Yeh hai Guruji ki bhi ichchaa

Jo maalik hamein sab kuch deta hai
Jisne hamein poora sambhaala hai
Uski baat maan lein hum
Veh hee hamaara rakhwala hai

Kalyuga ki bela mein raahon mein
Chaahe aayein sainkdon baadhaayein
Laukik sukh ke laalach mein bhi
Apne aap ko bhatakne se bachaayein

Kendrit rakhein apne mann ko
Guruji mein lagaayein dhyan
Ekaagr rakhein apne chitt ko hum
Taaki paa sakein Guruji ka gyan

Jeevan toh ek mithya hai
Guru milan hai sachchaayi
Guru se paa lein chaitanya shakti
Isi mein hai sabki achchaayee

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja