03/01/2018 and Guruji Se Yaachna (03/01/2019)

March 1, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj ka SuvichaarπŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Guru hee pehla satya hai
Govind satya hai dooja
Guru bin Govind ko na paayo
Chaahe karlo kitni bhi pooja

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

Dhirja

03/01/2018

March 1, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»

                Guruji Se Yaachna

Kalyuga ki tez aandhi mein
Hara bharaa vriksh hua hai khaali
Phir bhi khadaa hai is dharti par
Bann kar ek pareshaan savali

Aasmaan ki oar baahein pasaare
Is ped ki har tehni Guruji ko pukaare
Bin boley apne dukh ka izhaar karey
Ki kaise patjhad mein veh jeete jee marey

Kal takk jo phal deta thaa sabko
Aaj khud hee maange bheeksha
Kaan hain uske taras rahey
Sunn-ne Guruji ki deeksha

Kalyuga ke insaan kee haalat
Is vriksh ke jaisi hee hai ho gayee
Harey bharey jeevan ki bahaar
Patjhad mein kaheen kho gayee

Yahee haal hua hai hum insaanon ka
Hum bhi sanskaaron se huey hain khaali
Zinda hain Guruji ki kripa se kyunki
Ve hain hamaare upvan ke maali

Aao vriksh ki bhanti hum bhi
Guruji se karein yeh yaachna
Ki sadbuddhi ke phal upjaayein hum
Hamaare jeevan par aaye koi aanch na

Haraa bharaa rahei sadaa hamaara jeevan
Shubh sanskaaron ke phal aur phool se
Doojon ko bhi phal baantein neeven hokar
Bachey rahein kukarmon ki dhool se

Shudh bhawnaaon ki hariyaali se
Kitna sundar ho jaayega sansaar
Aao hum sabb is ped se seekhein
Jo khadaa hai apni baahein pasaar

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Se Yaachna

Leave a comment