March 10, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
Guruji Hamaare Bhagwant
Guruji kehte hain maango nahin, keval maano
Guruji Ki Aprampaar mahima ko tum jaano
Mahasaagar sa aseem Unka pyaar
Bedaa sab bhakton ka lagaaye paar
Guruji Ki kripa hum sab par hai anant
Sach hai ki Veh sabke hain Bhagwant
Unki leela yakeenan hai bemisaal
Phir kyun hum Unsey karein sawaal??
Veh sangg hain toh kaisa ghabrana
Yeh dil toh hai ab Unhee ka deewaana
Phir chaahe kuchh bhi karle yeh zamaana
Paas hai hamaare Guru naam ka khajaana
Guru ke bande, vyarth na samay gawaana
Kar har pal tu Shukrana hee Shukrana
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
March 10, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
Faayda Hee Faayda
Kal hamaare haath mein nahin
Kyunki veh toh kabhi aata hee nahin
Phir veh aaj bannkar saamne aata hai
Aur vahee sachchaayee bann jaata hai
Samay adbhut hai kyunki
Veh sthir nahin rehta
Kal agar aa jaaye
Toh veh kal nahin rehta
Na beeta hua kal phir laut kar aayega
Na aane vaale kal ko koi pakad paayega
Samay ka pahiya jaise jaise phirta jaayega
Aane wala kal aaj bannkar aayega
Buss, yahee pal vash mein hai hamaare
Aayiye, is pal ka karein shubh prayog
Simran karein pyaare Guruji ka
Jo sikhaatey hain hamein Shiv Yog
Bhaav hee sabse zaroori hai
Phir kaunsi aisi majboori hai
Niswaarth bhaav se kar lein Guruji kee pooja
Guruji bin maargdarshak abb koi na dooja
Sewa aur satsang ko banaayein jeevan
Guruji ko kar dein poorna samarpan
Guruji kee chaahat anusaar
Unhee se jod lein atma kee taar
Chod dein khokhli baatein duniyadaari kee
Na upjaayein peeda adhyaatmik beemari kee
Kaam krodh moh lobh jhooth ko tyaagein
Ahankaar se toh bhi bilkul duur bhaagein
Isee pal mein hai zindagi
Isee pal mein kar lein bandagi
Karenge hum Guruji kee ibadat
Guruji karenge hamaari hifaazat
Guruji jaisa kahein, vaisa karte chalein hum
Jabb takk hamaare praan se nikle na dum
Isliye kyun na todein andhvishwaas aur vehem ka fazool kaayda
Sauda nahin hai, phir bhi hamaara hai faayda hee faayda
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja