March 14, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
Dhanya Jeevan Ka Saral Tareeka
Simran mein thoda toh samay guzaar
Kaam toh hameshaan hongei hazaar
Achche karam kar, sach par amal kar
Krodh moh lobh se rehna sambhalkar
Irshya kabhi bhi mann mein na laana
Sewa karne ka vaadaa sadaa nibhaana
Anmol hai satsang ki veh ghadee
Jismein dil ki taar Guruji se judee
Gurbani ke meethe bol ka kar shravan
Guruji ka hee kar tu dhyan aur manan
Jeevan tera dhanya ho jaayega
Guru naam ka khazana tu paayega
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
March 14, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
Rehmat Ka Amrit
Guruji kee rehmat ka amrit
Milta hai bade naseeb se
Kaun jaane kisne dekha hai
Maut ko kitne kareeb se
Laukik dhan toh nashvar hai, aaj hai toh kal nahin
Hum samay ke vash mein hain, hamaare haath mein ek bhi pal nahin
Karein hum sthir aur prem-mayee sthiti apne mann kee
Apni lagan se paa lein poonji Guruji ke naam ke dhan kee
Khush rehna seekhein
Jeevan ke har haal mein
Zindagi ka geet gaayein
Mangalmayee sur aur taal mein
Sewa aur simran mein leen rahein
Chaahe khushi ho ya gum
Guruji kee sharan mein hain
Kitne khushnaseeb hain hum
Har pal Guruji ka naam dil mein liye
Apna har kaaraj Unhe arpan karein
Unke bataaye asoolon par chalein
Aur sachchaayee se kabhi bhi na darein
Karam hamaare achche hon
Mann mein ho sadbhawna
Niswaarth bhaav se sewa karein
Sabke mangal kee karein kaamna
Satya ka saath dein hameshaan
Simran aur satsang mein dhyan lagaayein
Yeh jeevan jo Guruji kee dein hai
Hum Unhe hee samarpan karte jaayein
Guruji kee rehmat ka amrit peekar
Hoga avashya hamaara kalyaan
Is divya amrit kee hum rakhein laaj
Guruji, kripa kar deejiye yeh vardaan
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja