March 15, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar
Zindagi Ek Naatak
Zindagi ke is ajab se naatak mein
Munch par aati hai sabki baari
Jeevan maran ko samajhne ki koshish mein
Haar chuki hai abb duniya saari
Jabb tann se niklein praan
Guruji hee hamein lein thaam
Zindagi kabhi laut ke na aayegi
Haseen yaad bann ke reh jaayegi
Zamana shaayad zikr karega hamaari baaton ka
Reh jaayega sirf khazana hamaari yaadon ka
Pyaar se sajaao yeh zindagi ka raasta
Tumhe insaaniyat aur shanti ka vaasta
Jai Guruji
Dhirja
March 15, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻
Guruji Kee Mehere Nazar
Guruji ke khayaalon kee masti mein
Mai magn hokar chalti gayee
Guruji kee mehere nazar se
Mere dukh kee shaam dhaltee gayee
Museebatein aatee gayeen
Unka ka toh kaam hai aana
Unka samaadhaan kiya Guruji ne
Aur kiya mere jeevan se ravaana
Dhokha jabb jabb diya duniya ne
Guruji ne mujhe tootne se bachaaya
Mera maansik santulan banaa rahey
Mujhe aisa ruhaani raasta dikhaaya
Meri kamzoriyan sudhar jaayein
Guruji ne bakshee aisi buddhi
Aaspaas kee nakaari baaton se na ho dil ashaant
Guruji ne kar dee aisi shuddhi
Jin raahon mein niraasha ka ghor andhera thaa
Guruji ne sainkdon asha ke diye jalaa diye vahaan
Soch kee dhaara mein Apne prem ka Amrit daala
Koi bhi anuchit vichaar aaye jabb aur jahaan
Guruvar Aapse hai yeh fariyaad
Ki jaise Aapne aaj takk hai sambhaala
Aagey bhi sambhaaliyega Guruji
Aapke siwa na hamaara hai koi bhi rakhwala
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja