Jeevan Isee Ka Naam Hai (03/17/2018) and Taral Taraana (03/17/2019)

March 17, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar

              Jeevan Isee Ka Naam Hai

Bade bhaag ki manushya tann paya
Bin Guru ke vyarth yoon ganvaaya
Ab Jo Guruji ki sharan mein tu aaya
Apna keemti waqt na kar tu zaaya

Guzaar le zindagi ke chaar din
Haste huey aur hansaate huey
Zarooratmandon ki madad kar
Apni ‘mai’ ko bhulaate huey

Is kalyuga ke zamaane mein
Apne liye jeena aasaan hai
Kaam aaye jo kisi aur ke
Jeevan isee ka naam hai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Jeevan Isee Ka Naam Hai (03/17/2018)

March 17, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻

                    Taral Taraana

Guruji ka pyaar deta hai himmat
Jo bann jaati hai bhakt kee taakat
Jee jaan se kee gayee ibadat
Kartee hai is anmol rishte kee hifaazat

Jabb Guruji thaam lete hain bhakt ka haath
Phir Ve kabhi nahin chodte Apne bhakt ka saath
Bhakt chaahe Guruji ko bhool jaaye
Guruji kee kripa uss par barasti jaaye

Jisne Guruji par sab kuch chod diya
Jisne Guruji se rishta jod liya
Uske jeevan mein hoga sudhaar
Aur uska yakeenan hoga uddhaar

Jabb bhi bhakt simre Unka naam
Guruji ko mil jaata hai paigaam
Jisme ho niswaarth bhakti, sewa, aur pyaar
Aise bhakton ko Guruji dete hain nikhaar

Jo Guruji kee sharan mein aayega
Usey bin maange sab mil jaayega
Khoyega jo apni ‘mai’, veh Guruji ko paayega
Guru prem hee dil mein shanti laayega

Jabb meetha laage Guruji ka bhana
Phir aur kaheen kisliye hai jaana
Guruji sangg jod doh zindagi ka afsaana
Bann-ne doh jeevan ko ek taral taraana

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Taral Taraana (03/17/2019)

Leave a comment