March 18, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar
Ardhnaarishwar MahaShiv
ShivShakti ka madhur milan
Ardhnaarishwar bann ke aaya
MahaShiv ka avataar bann kar
Mera Guru is jagg mein aaya
Chaaron oar Unki karuna ka
Yash hai jagg mein chhaya
Navratron ke shubh avsar par
Aao Unhein poojein milkar
Sab aayein apni dua lekar
Sheesh nivaaein Unke dar par
Sunte hain hamaare dil ki pukaar
Rehmatein sab par karte baar baar
Unko sab samarpan kardo ek baar
Dekho jeevan mein aa jaayegi bahaar
Sangat ko navratron ke shubh avsar par haardik shubhkaamanaayein
Jai Guruji
Dhirja
March 18, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»
Koti Koti Namaskar
Badi ummeed se aayee hoon
Guruji Aapke dwaare
Asha hai meri kee mera Guru
Mujh naacheez ka jeevan sanvaare
Kayee janmon se bhatak rahee hoon
Shukr hai Aapne nigaahe rehmat mujhpar hai daali
Apne paap aur karmon se
Sajaayee mainey guzaarish kee arti kee thali
Paap kitne kiye hain mainey
Aapse behtar kaun jaane
Har janam ka hisaab hai Aapke paas
Kisi baat se na hain Aap anjaane
Chaah hai sudharne kee
Ashirwaad mil jaaye buss Aapka
Aur koi sangg chaley ya na chaley
Saath chahiye buss Aapka
Vishwaas aur prem kee jyot jalaakar
Karti hoon Aapko pranaam
Aapki karuna ho jaaye
Toh bann jaayein bigde kaam
Zindagi dee hai Aapne
Aur achchaa swaasthya hai baksha
Karmon anusaar dhan diya Aapne
Hameshaan kee hai meri raksha
Buddhi aisee deejiye Guruji
Kee antaratma jaagrit ho jaaye
Thaam leejiye mujhe aise
Ki mera beda paar ho paaye
Aapki kripa se apnaaoon mai
Shubh aur shudh sanskaar
Aapke charnon mein sees jhukaakar
Karoon mai koti koti namaskaar
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja