Aisa Pal Zaroor Aayega (03/21/2018) and Rangon Ka Tyohaar (03/21/2019)

March 21, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka SuvichaarπŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 31

           Aisa Pal Zaroor Aayega

Guruji ka har bhakt se ik adbhut pyaara naata hai
Ek baar tum vishwaas karo toh jeevan sanvar jaata hai
Har mushkil lagne lagti hai aasaan
Guruji hain Bhagwaanon ke Bhagwaan

Mere dil mein mera Guru hai bastaa
Khush mujhe dekh kar Veh bhi hastaa
Hamaari aankhon ke aansoon Unhey bhi rulaa dete
Har takleef mein hum Unhei hain bulaa lete

Guruji ke gyan ki gehraayi ka
Hum andaaza bhi nahin lagaa sakte
Ab toh Unhi ka bann kar rehna hai
Is ehsaas ko aur nahin dabaa sakte

Yahee ehsaas hamein Unke kareeb laayega
Unka har bhakt khushnaseeb kehlaayega
Tere chehre par Guruji ka noor chhaayega
Aye bande aisa pal ek din zaroor aayega

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Aisa Pal Zaroor Aayega (03/21/2018)

March 21, 2019
Thurs

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 396

             Rangon Ka Tyohaar

Guruji kee pyaari Sangat ko
Holi kee haardik shubhkanaayein
Aayiye hum sabb mil kar
Yeh rangon ka tyohaar manaayein

Phoolon se aur rangon se toh
Sabb hee khel lete hain Holi
Guruji ne hamein diye hain aur bhi rangg
Toh aao, bhar lein hum apni jholi

Guruji ne pradaan kiya hai
Hamein rangg shakti ka
Is shakti ke rangg mein mila lein
Aao rangg bhakti ka

Mann ko swachh kar lein hum
Taaki uss par pavitrata ka rangg chadh jaaye
Hamaare dil ke upvan mein aaye nidartaa
Aur bhayy ka har patta jhad jaaye

Madhurtaa ka rangg chhaaye vyavhaar par
Sabko khoob anand aaye is tyohaar par
Sehensheelta aur saboori ka rangg chadh jaaye gehra
Aur jeevan mein sukh paayein pehen kar khushi ka sehra

Shradha ka rangg barse shanti ke rangg ke saath
Prem ke pakke rangg se rangg jaayein sabke haath
Sabke dil mein jeene kee chaahat aur umang ho
Sabke mann mein asha aur ummeed kee tarang ho

In sabb rangon ka gehra rangg kabhi na chhootey
Guruji ke sangg yeh anmol rishta jud ke phir kabhi na tootey
Is rangeele tyohaar par hum sab sadaa ke liye Guruji ke ho jaayein
Guruji ke pyaar mein swayam ko rangg kar
Guruji mein kho jaayein

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Rangon Ka Tyohaar (03/21/2019)

Leave a comment