Karmon Ka Hisaab (04/05/2018) and Guruji Ka Saath (04/05/2019)

April 5, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 46

                Karmon Ka Hisaab

Guruji ke darbar mein
Har chehra benakaab hai
Jo bhi yahaan par aata hai
Uske karmon ka khaata hai

Yahaan jaise bhi karam kiye hain
Vahaan par sabka hisaab hai
Phir kis ahem mein jee rahei hain hum
Khuda toh ahem todne mein laajawaab hai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Karmon Ka Hisaab (04/05/2018)

April 5, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 411

                Guruji Ka Saath

Kalyuga ka tufaan kitna bhi tez kyun na ho
Madhur se madhur nagme se bhi zyada taral hain Guruji
Raaste ke kaante kitne bhi kashtdaayak kyun na hon
Sabse mulaayam aur manohar phool se bhi komal hain Guruji

Zamaane kee dhoop chaahe kathor aur jalaane waali ho
Shaant sarovar se kaheen adhik sheetal hain Guruji
Zindagi kee raahon ke andhere se tu na darr
Sooraj ke tej se kaheen zyada tejasvee hain Guruji

Paap aur dosh agar badhta hai is dharti par
Toh swayam Ve amrit Hain, itne nirmal hain Guruji
Chhal kapat ke is mayayee jeevan jaal mein
Har pal bilkul niswaarth aur nishchhal hain Guruji

Tu buss Unpar vishwaas kar
Tu buss Unhee kee aas kar
Unmein magn hokar buss Unhee mein kho jaa tu
Unhe saump kar apne aap ko Unhee ka ho jaa tu

Guruji kee leela hai itni nyaari
Unhe saadhega tu jis bhi roop mein
Usee divya chhavi mein Ve tere sangg rahenge
Chhaon mein aur dhoop mein

Kya tera hai jo tu saath lekar jaayega
Tera apna saaya bhi tera saath na de paayega
Apne karam aur paap ka bojh jabb uthaayega
Tabb Guruji ka saath hee tera beda paar karaayega

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ka Saath (04/05/2019)

Leave a comment