April 11, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šš»šš» # 52
Jai Jaikaar
Guruji MahaShiva hain
Unkee leela hai bemisaal
Vahee Govind hamaare
Hum hain Unke nanhe laal
Sadaa sambhaalein humko
Chaahe jaisa ho hamaara haal
Unkee shakti itnee aseem hai
Ki bhaybheet ho jaaye kaal
Dharti par swarg dikhaate hain Guruji
Hamein Ish se milvaate hain Guruji
Unke alaawa na koi aur abb paalanhaar
Kar lo shradha se Guruji Ki Jai Jaikaar
š¹š¹š¹š¹š¹š¹š¹
Jai Guruji šš»šš»
Dhirja
April 11, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar šš»šš» # 417
Abb Jaago Tum
Idhar udhar bhatakne kee koi zaroorat nahin
Apne bheetar dhoondne se mil jaayenge Guruji
Prem aur sadbhawna se pukaaro toh sahi
Dekhna tum, daude chaley aayenge Guruji
Bhaavuk hona hai toh Guru prem mein hona
Tum par prem ka amrit nirantar barsaayenge Guruji
Jhooth aur fareb ke saath ko chodo
Kyunki sach ko galey lagaayenge Guruji
Bade saubhagya se aata hai Guruji ka bulaava
Is rishte mein nahin phaltaa hai jhootha dikhaawa
Oopari dikhaawe se chaahe poore jagg ko dedo dhokha
Lekin asaliyat pehchaan-ne ka Guruji ka andaaz hai anokha
Kyun jhooth ka daaman pakdo
Jab Guruji se tumhara naata hai
Aaj nahin toh kal
Jhooth toh pakda hee jaata hai
Buss Unhe kardo tum samarpan
Unhee mein leen kar lo mann
Bator lo Guru naam ka dhan
Ganvaao na abb tum ek bhi kshan
Raasta kathin toh hai, magar tayy kiya jaa sakta hai
Jeevan mein mushkilein aayein, phir bhi jiya jaa sakta hai
Har pal tum tayyaar raho, kabhi bhi imtehaan liya jaa sakta hai
Abb bhi waqt hai, Guru kripa se Unke naam ka amrit piya jaa sakta hai
Tarr jaaoge Guruji kee kripa ke mahasaagar mein
Aashirwaad ka divya amrit hai Guru roopee sudhakar mein
Is amrit mein hai mamta kee mithaas
Jis se aur bhi dridh hoga tumhaara vishvaas
Arey, abb jaago tum
Guruji kee mahima ko jaan lo
Guruji hee kalyaan kar sakte hain tumhara
Is sach ko abb tum maan lo
š¹š¹š¹š¹š¹š¹š¹
Jai Guruji šš»šš»
Dhirja