April 12, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 53
Mera Baarambaar Pranaam
Guruji, Apki mamta mein hai vo bhaav
Jo bhar deta har ghaav
Aapke darshan se khush ho jata dil
Adbhut see shaanti jaati hai mil
Kabhi gulab kee khushboo, kabhi chandan kee
Prerna deti hai Aapke charan vandan kee
Prafullit kar deti hai shabad kee mithaas
Badhti jaati hai simran karne kee aas
Aapki kripa aur karuna se
Pooran hongei sab kaam
Guruji kripa kar sveekaar karein
Mera baarambaar pranaam
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
April 12, 2019
Om Namana Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 418
Divya Noor
Mann mein hee tandaav
Mann mein hee Nataraj
Mann par rehne de
Keval Shiv ka raaj
Guruji dikhaayein raasta mann ko swarg banaane ka
Phir kyun hum intazaar karte hain kisi bhi bahaane ka
Mann mein hee hai vichaaron ka vaas
Mann mein hee basein shradha aur vishwaas
Mann jabb hota hai vash mein apne
Toh jeevan mein anand samaata hai
Lekin jo apne hee mann par kaabu na paaye
Veh toh mann ka daas kehlaata hai
Mati kharaab hoti hai, toh mann bhi dagmagaa jaata hai
Irshya aur dwesh mein mann insaan se kya kya karvaata hai
Apne karam ko anuchit jaantey huey bhi insaan rukta nahin hai
Ishwar bhi aakar yaad dilaaye toh bhi veh jhukta nahin hai
Is mann ko sanyam mein rakhne ke liye
Guruji ke maargdarshan ka karein aadar
Achchaa sochein aur changey karam karein
Na mayli karein apne karmon kee chaadar
Guruji ko shradha aur prem se saadhein
Sewa aur Simran mein lagaayein dhyan
Samarpan kar dein Guruji ko apna sab kuch
Saadhna mein paayein Guruji se gyan
Satsang mein Guruji kee mahima sunein aur sunaayein
Bhakti mein leen hokar mann ko vash mein kar paayein
Dekhna, jabb gehri aur ekaagr hogi saadhna
Toh divya noor laayegi hamaari aradhana
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja