April 13, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ»# 54
Guruji Ke Sangg Baisakhi
Guruji ke pyaare bhakton ko
Baisakhi par badhhaai
Guruji kee chhavi sabne
Mann Mandir mein sajaayee
Guruji ke sangg tyohaar manaane
Bade pyaar se sangat aayee
Khoob sajaa darbar Guruji ka
Vatavaran mein masti chhaayee
Pyaar se langar khaya sabne
Sabne baantee mithai
Guruji ne sab bhakton par
Apni rehmat barsaayee
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
April 13, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 419
Samay Ka Sadupyog
Samay bahut ho ya thoda
Guruji ne tumhe Apne se hai joda
Apnaakar tum Shiv Yog
Is samay ka karo sadupayog
Doosaron ko bhi jee lene doh
Aur khud bhi achche se jiyo
Kitne loag Guruji mein leen hain
Tum bhi Guru naam ka amrit piyo
Kisee kee madad kar sako toh karo
Lekin kisee ka raasta kaato nahin
Chaahe koi aur na dekhe aur na jaane
Guruji dekh sakte hain galat aur sahee
Karam mein kaaj ke bheetar kya bhaav chhupa hai
Guruji uss bhaav ko jaante hain
Bhaav hamaara achchaa hona chahiye
Yeh hum sab bhi maante hain
Picchle kayee janmon ke sanskaaron ne
Ghar banaaya hai hamaare mann mein
Unka prabhaav bhi hota hai
Mann kee ichchaa aur spandan mein
Guruji kee dee hui aadhyatmik shakti
Jab Simran aur Sadhna se hum paayenge
Toh nirpekshataa aur sakaaraatmakta se
Hum anuchit sanskaaron ko badal paayenge
Shubh sanskaar hongei hamaare
Tabb hee jeevan sanvar paayega
Varna toh yeh saara jeevan
Yoon hee guzar jaayega
Baat patey kee hai yeh sach mein
Kar lein hum abb uddhar apna
Guruji kee baaton ka anusaran kar ke
Poora karein ek sundar jagg ka sapna
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja