April 19, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 60
Khila Dein Murjhaaye Huey Phool Ko
Khila dein murjhaaye huey phool ko
Hataa dein Veh raaste ke shool ko
Kathin raah par bhi chalna sikhaa dein
Andheri raat mein bhi chaand dikha dein
Nikhaarte hain ujde huey baag ko Guruji
Jagaate hain sotei huey bhagya ko Guruji
Bhatke huey ko raah dikhaate hain Guruji
Jeene ka saleeqa sikhaate hain Guruji
Apne pyaar bhare aashirwaad ke jaadu se
Sharad ritu ko saawan banaate hain Guruji
Chamatkaar aise lajawaab karte hain
Ki patit ko bhi paawan banaate hain Guruji
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
April 19, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 425- Yeh suvichaar bachchon kee ek kahaani par aadhhaarit hai
Har Jeev Ke Hain Apne Karam
Guruji keval insaanon ke nahin
Har jeev ke Bhagwaan hain
Har praani kee karte hain raksha
Sabke upvan ke baagbaan hain
Ek kissa tumhe sunaatee hoon
Jiskee bahut gehri hai shiksha
Dhyan se sunoge toh jaanoge
Guruji de rahein hain deeksha
Choohe ne jab dekha, ki kisaan choohedaan laaya
Toh chooha bahut ghabraya
Jab usne aakar apne pashu mitron ko bataaya
Toh unko choohe kee fikr ne na sataaya
Bakree aur gaay ne kuch shabd saantvanaa ke kahe
Murga, bakree, aur gaay apne apne raaste chalte baney
Jab raat ko chooha darr kar kisaan ke ghar mein jaaga
Toh choohedaan mein ek saamp ko dekh usey darr laaga
Saamp ne kisaan kee patni ko kaata
Aur patni hui beemaar
Itne padosi aaye madad karne
Kisaan ne unke liye bhojan kiya tayyaar
Usne bakree aur gaay kee balee chadhaayee
Aur padosiyon kee bhookh mitaayee
Chooha yeh dekh kar bahut udaas hua
Lekin phir usey is baat ka ehsaas hua
Ki yahee hai chakravyu jeevan ka
Yeh khel hai karam aur mann ka
Zindagi ek karmic safar hai
Har koi hamaara humsafar hai
Hum sab jeev hain ek hee mala ke moti
Kisi kee zindagi lambee, kisi kee chhoti
Lekin jiske saath hai karmon ka khaata
Veh zaroor hamaari zindagi mein hai aata
Ek dooje ke saath jo karmic khaata hai
Jo usey divyataa se nibhaata hai
Aur apne madadgaar ka maan badhaata hai
Veh Guruji ka sachchaa bhakt kehlaata hai
Guruji raasta dikhaate Hain hamein
Achchaa bann-na sikhaate Hain hamein
Guruji ne Apni meher se dee hai jo hamein shakti
Uska prayog kar ke paa lein karmon se mukti
Halkapann mehsoos hoga atma ko
Khushi hogi Guruvar Parmatama ko
Utaar lein apne karmon ka bhaar
Yahee toh hai jeevan ka saar
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja