Baarambaar Shukriya (04/24/2018) and Guruji Kee Bandagi (04/24/2019)

April 24, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 65

            Baarambaar Shukriya

Jis bhi haal mein Guruji rakhein
Hamein khushi se rehna hai
Chaahe koi bhi kasht aaye
Hamein sabr se sehna hai

Koi bhi baat sataaye jo humko
Hamein apne Guruji se kehna hai
Unka diya hua sab kuch hee
Hamaare liye keemti gehna hai

Jeevan-dhaara jis dishaa mein bahey
Hamein toh uske sangg behna hai
Guruji Aapka baarambaar shukriya
Hameshaan hamein yeh kehna hai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Baarambaar Shukriya (04/24/2018)

April 24, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 430

             Guruji Kee Bandagi

Chatur khel khelkar kyun karein atma ko khandit
Guruji ke simran ke anmol samay se kyun karein swayam ko vanchit
Vikaaron mein ulajh kar kyun karein karmon ko sanchit
Guruji par vishwaas hai toh kyun dhoondein hum koi pandit

Guruji toh MahaShiv Hain
Bhakton ka shodhan karte hain
Phir kyun hum kukarmon ke hathiyaar se
Apni atma ka shoshan karte hain?

Choti choti pareshaaniyon se
Ashaant hota hai mann
Choti choti khushiyon se jud kar
Sanvartaa hai jeevan

Guruji chaahein ki hum saralta se jiyein
Saralta se jeene mein nirmal anand hai
Guruji chaahein ki hum taralta se jiyein
Taralta se jeene mein satchittanand hai

Sansaar kee baaton se
Vichlit hum na hon
Jaise bhi haalat hon
Behaal hum na hon

Reet nibhaayein Guru bhakti kee
Saraahna karein Guruji kee shakti kee
Guruji ke vachanon ko hee kaanoon maanein
Guru prem ke junoon ko jaanein

Kyun na aaj se kar lein yeh vaada
Ki antarmann ko banaa lein saral aur saada
Har saans mein kar lein Guruji kee bandagi
Guruji ke prem mein guzaar lein yeh zindagi

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Kee Bandagi (04/24/2019)

Leave a comment