Shubh Kaam Mein Der Na Kar (04/26/2018) and Dharam Aur Imaan (04/26/2019)

April 26, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 67

       Shubh Kaam Mein Der Na Kar

Guruji ka divya abha mandal
Sooraj se bhi adhik tejasvi hai
Guruji MahaShiv ka avatar hain
Unka yeh roop kitna yashasvi hai

Har koi kehlaaye Unka bachchaa
Keh dijiye Unko haal apna sachhaa
Suntey hain sabkee zubaani
Sanvaarte hain sabkee kahaani

Har kasht ka nivaaran karte hain
Sabki jholiyaan Veh bharte hain
Sangat Ke dukh Ve harte hain
Yamraj bhi Guruji se darte hain

Shubh kaam mein karta deri kyun
Sheesh jhuka le Guruji ke charan mein
Guruji tujhe apna lenge bahut pyaar se
Sadaa rahega phir Guruji ki sharan mein

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji
Dhirja

Shubh Kaam Mein Der Na Kar (04/26/2018)

April 26, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 432

              Dharam Aur Imaan              

MahaShiv ka avataar hain Guruji
Dil-o-jaan ka pyaar hain Guruji
Deewaane bhakt ka ikraar hain Guruji
Ruhaani prem ka saar hain Guruji

Saadhak kee saadhna Guruji
Bhakt kee aradhana Guruji
Pujaari kee upasana Guruji
Hum sabkee praarthana Guruji

Shradha aur pyaar ka ehsaas hain Guruji
Sadaa hamaare paas hain Guruji
Dhadakte dil ka shwaas hain Guruji
Sach mein sabse khaas hain Guruji

Mahaanta mein sabse mahaan Guruji
Jahaan bhi dekho vahaan Guruji
Sabse anmol vardaan hain Guruji
Hum sabka toh jahaan hain Guruji

Khushi aur gumm mein sahaara hain Guruji
Bhakton kee aankh ka taara hain Guruji
Khuda kee rehmat ka ishaara hain Guruji
Kal, aaj, aur kal hamaara hain Guruji

Hamaare chehre kee muskaan hain Guruji
Hamaara dharam aur imaan hain Guruji
Jigyaasu ka adhyaatmik armaan hain Guruji
Hum toh kuch bhi nahin, hamaari toh pehchaan hee hain Guruji

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Dharam Aur Imaan (04/26/2019)

Leave a comment