April 27, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 68
Guruji Se Jod Le Naata Aye Bande
Lekar apni atmaa par karmon ka bhoj
Har koi kar raha hai sukh kee khoj
Chaahe kisi ne choom liya ho akash
Phir bhi apni pehchaan ki usey hai talaash
Guruji se jod le naata aye bande
Phir bhojh se thakenge na tere kandhe
Lagenge tujhe simran ke pal aakarshak
Aur Guruji banenge tere maarg darshak
Aa Unke sowmya aur komal roop ko
Basaa lei tu sadaa ke liye apne dil mein
Phir na paayega tu swayam ko akela
Is mayavi duniya ki kisi bhi mehfil mein
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
April 27, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 433
Sabse Shudh Dharam
Hum sab raaste kee dhool hain
Lekin Guruji ke liye nanhe phool hain
Kyunki Guruji Hain mata pita hamaare
Hamaari har saans hai Unke sahaare
Guruji ne saansein bakshee hain
Kyun na har saans mein Unhee ka naam lein
Sewa, simran, aur samarpan kar ke
Apne pyaare Guruji kee baat maan lein
Satsang mein Unkee mahima ka gungaan karein
Gupt paath, gupt sewa, aur gupt daan karein
Guruji ke har vachan ka maan karein
Unkee divya leela ka sadaa bakhaan karein
Kaahe ka jhagdaa, kis baat kee ladaayee
In sabb baaton se kabhi shanti na aayee
Tarr gaya veh jisne Guruji se lagan lagaayee
Yeh yakeenan hai Guruji kee hee vadiyaayee
Ek din sabkee zindagi mein aayega
Jab shareer bina atma ke reh jaayega
Guru naam hee atma ke sangg jaayega
Aur vahee atma ka uddhaar karaayega
Kyun na karein hum sab achche karam
Aakhir vahee toh hai sabse shudh dharam
Hamein mil jaaye Guruji kee sharan
Taaki safal ho jaaye janam aur maran
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja