May 3, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 74
Phool Aur Kaante
Phool khilaane kee koshish mein
Kaante bhi hain ugtey
Nahin hataao unko toh phir
Kuch kuch kabhi hain chubhtey
Achche karmon ka beej bo lein hum
Toh moksh ke phool hain khilte
Varna ashaanti, chinta, aur gumm
Ke dukhdaayi kaante hee milte
Apne jeevan ko phoolon ki bagiyaa banaayein
Pyaar aur sadbhawna kee khushboo phailaayein
Aur Guruji ke βbandeyβ bann kar hum
Sadaa Unka divya aashirwaad paayein
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
May 3, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 439
Aap Hee Hain, Guruji
Prem ka prakash
Sadbhavna ka sakaash
Ashirwaad ka akash
Aap hee Hain Guruji
Sneh kee seher
Praarthana ka peher
Mamta kee mehar
Aap hee Hain Guruji
Shanti ka saagar
Garima kee gaagar
Chayn kee chaadar
Aap hee Hain Guruji
Dhanyataa ka dhan
Mahaanta ka mann
Tej se bharaa tann
Aap hee Hain Guruji
Ahem ka antt
Atma-bal anant
Bholenath Bhagwant
Aap hee Hain Guruji
Urja ke ujaale
Raah ke rakhwaale
Sabse bade dil waale
Sirf Aap hee Hain Guruji
Sab bhakton ka sansaar
Sumangal ka sanskaar
Adiyogi Ka Avataar
Aap hee Hain Guruji
Sachchaayee ka sangeet
Mata pita aur meet
Parwardigaar kee preet
Aap hee, Aap hee Hain Guruji
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja