May 10, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 81
Guru Prem Ka Shringaar
Bhatkee hui hai jeevan kee naiya
Isey mukti ke kinaare par lagaayein
Farz ko sachhayee se nibhaayein
Sewa simran mein dhyan lagaayein
Phoolon kee bhanti hum khilein
Laayein sabke jeevan mein bahaar
Guruji chaahte hain ki hum sab
Aapas mein baantein aseem pyaar
Jo anmol jeevan Guruji ne diya hai
Usme paawan preet kee jyot jalaayein
Aur Guru prem ke sowmya shringaar se
Hum sadaa ke liye sajj sanwar jaayein
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
May 10, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 446
Simran
Simran ka har pal jo miley
Veh hai ek bahumoolya mani
Koi bhi ratna is-se anmol nahin hai
Kyunki isme basey Guru naam kee dhvani
Simran mein dhyan lagta hai jab
Toh dikhtee hai divya jyoti
Jo kabhi kabhi puraane janam kee
Ruhaani yaatra se hai judee hoti
Jab bhi simran ka miley avsar
Usey maan lena Guruji ka prashad
Shradha aur prem se karna simran
Usme basaa hai Guruji ka ashirwaad
Guruji ke naam ko japte japte
Guruji mein magn ho jaana
Simran mein baithey baithey hee
Guruji ke darshan paana
Bahut aasaan hai mann ka bhatak jaana
Saral hai maya mein saanson ka atak jaana
Isliye simran mein Guruji par dhyan dharo
Aur har saans mein Guruji ka gungaan karo
Simran dikhaaye bhakti se shakti ka vaasta
Simran hai janam maran se mukti ka raasta
Simran se hee adi, simran mein hee anant
Simran se praapt ho jaayein Bhagwant
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja