May 16, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 87
Agar Khuda Ka Bandaa Kehlaana Hai
Jhootha dhan kaam nahin aana hai
Hamnei maati mein hee mil jaana hai
Agar Khuda ka bandaa kehlaana hai
Toh shubh karmon ka dhan kamaana hai
Achche karam hongei hamaare
Toh janam maran se mukti hogi
Yahee niyam hai kaayenaat ka
Ki maanav hai ik karam yogi
Guruji ko kiya vaada nibhaayein
Apne andar ki chetna ko jagaayein
Guruji jeene ka tareeka sikhaayein
Unke hukm se hum prerna paayein
Patit se hum paavan bann jaayein
Phir moksh ka raasta Guruji dikhaayein
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
Agar Khuda Ka Bandaa Kehlaana Hai (05/16/2018)
May 16, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 452
Jeevan Ka Salona Saar
Guru naam bin hamaara auda hai gareeb ka
Guru hee aavishkaarak hai har divya tarkeeb ka
Kyun na jod lein Guruji se rishta hum kareeb ka
Aur saump dein Unhe nirmaan apne naseeb ka
De sakte hain Unhe hum apne karmon ka bhaar
Aur saath mein apni shradha aur apna pyaar
Agar maante hain Unhe hum paramatma
Toh kyun na Unke havaale kar dein apni atma
Atma ka mool tatva toh hai vishwaas
Vishwaas hee hai atma kee dhadkan ka ehsaas
Yeh dhadkan hee toh bhakti mein shakti laati hai
Isee shakti se atma mein ruhaani urja aati hai
Guruji mein vishwaas rakhte chalenge hum
Toh hamaari atma ka hoga uddhaar
Mayl aur kalank dhul jaayenge
Beda honei lagega paar
Nek neeyat se dhulne lagenge
Atma par se duraachaari ke daag
Khudgarzi ke andhere mein soyee atma
Chetna kee aawaaz se jaayegi jaag
Guruji kee aseem kripa se
Atma pavitra hoti chalee jaayegi
Aur nekee ke raaste ko apnaakar
Atma sachkhand ko phir paayegi
Ye baatein bahut hee gehri hain
Aur dhyan se samajhne waali hain
Hamaari zindagi mein jitnee uljhanein hain
Ve is vidhi se sulajhne waali hain
Isliye bina kisee bhi shart ke
Guruji se har pal karein vishwaas bhara pyaar
Yeh atma bhi Unkee, ye saansein bhi Unkee
Yahee toh hai jeevan ka salona saar
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja