May 20, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 91
Hum Guruji Ke Bina Kuch Nahin
Guruji kee sharan mein hain hum sab
Phir idhar udhar kyun bhatkein
MahaShiv ka aashirwaad paakar bhi
Moh maya mein kyun hum atkein
Guruji hamaare bina bhi Bhagwaan hain
Lekin hum Unke bina kuch nahin
Jo bhi raasta Veh hamein dikhaayein
Yakeenan vahee hai hamaare liye sahi
Phir kaahe ka hamein dambh hai
Kyun sudharne mein vilambh hai
Paap kee gathri ko atma ke kandhon se giraayein
Aao Guruji kee sharan mein aakar tarr jaayein
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
May 20, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 456
Guruji Vishaal Taruvar Hain....
Guruji ek vishaal taruvar hain
Sab bhakton ko dete hain mamta kee chhaiyaan
Raah par chalna sikhaate hain
Pyaar se thaam kar sabki baiyaan
Chaand kee chaandni se sheetal hai Guruji ka pyaar
Har bhakt ko deta hai taar
Sooraj ke tej se kaheen oorjaamayee hai Guruji ka prakash
Jo hum sabko deta hai sakaaraatmak sakaash
Indradhanush ke rangon se rangeen hai Guruji kee leela
Jis se bhakton ke safar ka sangeet bantaa hai sureela
Gulab se bhi zyada divya hai Guruji kee khushboo
Jo har bhakt ke deewaane dil ko leti hai chhoo
Kaliyon se bhi sundar hai Guruji kee muskaan
Jisey dekh kar aatee hai bhakton kee jaan mein jaan
Mahasaagar se bhi gehre hain Unke nayn
Jinme jhaank kar milta hai dil ko sukoon aur chayn
Har divya jyot se bhi ujjwal hai Guruji ke mastak ka ujaala
Jo kehta hai humse ki Guru hai sabka rakhwala
Phoolon kee pankhudiyon se bhi komal hain Guruji ke haath
Jo sab bhakton ko detey hain ashirwaad
Srishti mein sabse pyaare hain Guruji hamaare
Hum sab zinda hain Guruji ke sahaare
Hum sab hain Unkee aankhon ke taare
Aur Ve hain poojya parwardigaar hamaare
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja