Srishti Ka Paalanhaar (05/24/2018) and Pyaar Kee Bhaasha (05/24/2019)

May 24, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 95

            Srishti Ka Paalanhaar

Guruji ne hum sabko pyaar se
Apni mamta ki chhaaon mein sehlaya
Aur hamaare nakhde seh kar
Hamaara dil behlaaya

Jab koi nahin thaa saath hamaare
Ek Unhonei hee saath nibhaaya
Sach mein na mata, na pita, na behna,
Na bhai aur na dost kaam aaya

Vyarth mein hee toh hum sabne
Moh maya ko galey lagaaya
Hamaare mann ko mili na shanti
Aur har apna hua paraaya

Srishti ka paalanhaar swayam Trilok se
Hamaara Guru bann kar hai aaya
Ab toh Guruji ko saump dein jeevan
Aur anmol samay na karein zaaya

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Srishti Ka Paalanhaar (05/24/2018)

May 24, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 460

               Pyaar Kee Bhaasha

Guruji ne diya hai hamein yeh jeevan
Taaki hum Unke dhyan mein rahein magn
Aur karte rahein Unka shukrana
Jis se nikhar jaaye zindagi ka afsaana

Shukrana toh hai pyaar kee bhaasha
Shukrana se dil mein jaage aasha
Shukrana se shuru karein har baat
Pyaare pyaare Guruji ke saath

Shukrana ka arth yeh nahin hai
Ki hum kar rahei hain mushkilon ko nakaar
Shukrana toh yeh yaad dilaata hai
Ki Guruji ka hukm hamein hai sweekaar

Shukrana se himmat kayee guna badh jaati hai
Shukrana se khoi taakat vaapis aati hai
Shukrana utsaah ko badhaata hai
Aur har bhakt ko raah dikhaata hai

Shukrana se khul jaate hain
Jannat ke dwaar bhakton ke liye
Shukrana se jal jaate hain
Andhere mein sainkdon diye

Shukrana se dharti par rehte huey
Dikhta hai swarg ka nazaara
Shukrana se har paripoorti ka
Anand aata hai dobara

Jo karta hai nirantar shukrana
Uspar barastaa hai ruhaani khazaana
Jo shukrana mein ho jaaye mastaana
Uska baal na baanka kar paaye zamaana

Guruji hamein kabhi na bisraana
Aapke charnon mein hai hamaara thikaana
Guruvar, hum par yeh kripa barsaana
Ki hamaari har saans mein ho shukrana

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Pyaar Kee Bhaasha (05/24/2019)

Leave a comment