May 25, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 96
Guruji Hee Prem, Guruji Hee Pooja
Sirf kitaabi paath se faayda nahin
Hamaare Guruji yeh kehte hain
Pehla paath hai gharelu zimmedaari
Phir hai dooje paath kee baari
Kalyuga ka maadaa samay hai
Durlabh sachhayee aur vinay hai
Paath pooja karenge toh bachh jaayenge
Varna mrityu pashchaat bhi thokarein khaayenge
Chaahe is zindagi mein jurmaana bharein
Phir bhi aao Guruji ka shukriya adaa karein
Jinhonei aise waqt par galey lagaaya hai
Jab chaaron oar kalikal ka andhera chhaaya hai
Kya hua agar Guruji ka dikhaaya raasta hai pathreela
Uspar chalkar moksh jo milega veh hoga sureela
Ab Guruji ke anusaran bin kaam na koi dooja
Vahee hain ab prem, aur vahee hain ab pooja
Jai Guruji
Dhirja
May 25, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 461
Aye Raat
Aye raat, tu niraash na ho
Tera aana toh hai bahut zaroori
Tujhse kabhi chhupi nahin
Kisee kee bhi majboori
Tu na ho toh kaun karega intazaar
Subah ke sooraj ke aane ka
Tere timir ke kaaran manorath hota hai
Jaagriti ke ujaale ko paane ka
Tujhpar Guruji kee mehar hai
Jo chaand tujhe deta hai darshan
Tere astitva par noor laatey hain taare
Vishwaas na ho toh dekh le darpan
Guruji kee tujhpar rehmat hai
Ki andhere mein bhi tujhe sajaaya hai
Chaand aur taaron ke roop mein
Guruji ka ashirwaad toone paaya hai
Tere sannaatey mein bhi Guruji ne bakshee hai sheetaltaa
Teri chuppi mein Unhonei bakshee hai tujhe nirmaltaa
Tu karti hai amritvele ka swaagat
Tere har lamhe mein ek adbhut see taakat
Tu Guruji kee rachee hui prakriti ka hissa hai
Tera safar har insaan ke jeevan ka kissa hai
Isliye chalti jaa tu Guruji ka naam gunginaati hui
Apni shanti se har kolaahal ko mitaatee hui
Tere anchal mein har subah ka janam hoga
Toone subah ke aane ke liye kitna kuch hai bhoga
Tu jab jab Guruji ke liye tarasti rahegi
Guruji kee kripa tujhpar barasti rahegi
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja