Satsang Kee Ghadiyaan (06/01/2018) and Simran Aur Dhyan (06/01/2019)

June 1, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 103

            Satsang Kee Ghadiyaan

Satsang ki ghadiyaan anmol hain
Inhe vyarth na ganvaa tu bande
Idhar udhar ke khayaalon mein
Tu kho na jaa, aye bande

Shabad ka shravan kar, Guruji ka manan kar
Prasad le aashirwaad ke sangg
Satsang sun kar, apna kalyaan kar
Lagan aur vishwaas ke sangg

Guruji har Satsang mein aate hain
Isme koi shaq ki gunjaayish nahin
Lekin dil mein Unke liye jab pyaar ho
Toh jahaan tu hoga, Veh hongei vaheen

Satsang mein agar na pahunch paaye tu
Toh isey bhi Guruji ki agya jaan lena
Koshish karna tera kaam hai bande
Baaki sab Unka hukm maan lena

Hum sab prem aur daya ke pyaase hain
Guruji, hum sab ko karuna ka daan dena
Hamaare janam se lekar maran takk
Aap kripa hamaari baahein thaam lena

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Satsang Kee Ghadiyaan (06/01/2018)

June 1, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 468

               Simran aur Dhyan

Pyaar bahut zaroori hai dhyan lagaane ke liye
Simran bahut zaroori hai swayam ko jagaane ke liye
Guru naam ke alaawa kuch nahin chaahiye jeevan bitaane ke liye
Guru naam ka shringaar sarvasreshth hai atma ko sajaane ke liye

Phir kaisi uljhan aur kaahe ka vilambh
Shubh sanskaaron ka karein aarambh
Simran aur dhyan karein zyada se zyada
Achchaa bann ne ka karein Guruji se vaada

Simran se Guruji kee divya jyot jal jaayegi
Dhyan se hamaari ekaagrataa badh jaayegi
Guruji ko mehsoos karenge apne bheetar aur apne sangg
Unke prem se khushnuma banega apne jeevan ka rangg

Guruji ko simar simar kar humko
Milegi shanti aur shakti
Dekhna kaise jeevan mein
Rangg laayegi bhakti

Gehra hoga prem, vishwaas, aur dheeraj
Chitt khilega jaise jheel mein neeraj
Sehensheelta aayegi, sehej ho jaayega svabhaav
Guruji khush hongei dekh kar hamaara bhaav

Jannat ka anubhav hoga dharti par rehte huey
Hamein sukoon mehsoos hoga sabse yeh kehte huey
Ki dayaalu Guruji ne hamein apnaaya hai
Aur humne Guruji ke roop mein Khuda ko paaya hai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Simran Aur Dhyan (06/01/2019)

Leave a comment