June 4, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 106
Guruji Ko Apne Saath Tu Paayega
Kitna alag hai har insaan ka safar
Kitni alag hai har insaan kee nazar
Phir bhi hum sab baraabar hain Guruji ke liye
Hum sabko mamta ke phool Guruji ne hain diye
Unke ashirwaad se aasaan ho jaaye
Har mushkil ko jhelna hamaare liye
Unke pyaar se mumkin ho jaaye
Har gumm ko sehna hamaare liye
Chaar din kee mayavee zindagi hai
Baad mein sab maati mein mil jaayega
Jab Guruji ne liya hai tujhe sharan mein
Unhe har janam apne saath tu paayega
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
June 4, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 471
Guruji Ko Kabhi Na Bisraana
Safar hai yeh zindagi ka
Kayee aise mukaam aayenge
Jab dharma-sankat hoga
Aur jo imtehaan bann jaayenge
Aise mein kaam na chalega chaturaayee se
Aise mein bhalaa hoga sirf khudaayee se
Karmon ka dard na jaayega kisee davaayee se
Uddhaar hoga keval Guruji kee vadiyaayee se
Guruji neeyat ko parakhte hain
Guruji hum sabko samajhte hain
Guruji se maangein hum bheekh
Ki hum sab achchaayee lein seekh
Guruji hee hain hamaari himmat
Guruji hee hain hamaari taakat
Bahut sukhdaayee hai Guruji kee sharan
Atyant kripalu hain Guruji ke charan
Guruji ke paawan charnon mein
Bastaa hai swarg hamaara
Vaheen hamaari manzil hai
Vaheen hai moksha ka dwaara
Kyun kaheen aur phir hai jaana
Jab Guru charnon mein hai apna thikaana
Chaahe lakh lubhaaye yeh zamaana
Apne pyaare Guruji ko kabhi na bisraana
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja