June 7, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 109
Guruji Kee Leela Aprampaar
Guruji ne apne kandhon par uthaaya
Saari sangat ke kashton ka bhaar
Unke charnon mein sthaan paane ke liye
Vyaakul hua yeh saara sansaar
Guruji bhakton kee raksha karein
Aur dete sab ko dhed saara pyaar
Un insaanon ko bhi vijay dilaate
Jinhonei diya hai sab kuch haar
Asambhav ko sambhav karte Guruji
Unkee leela sach mein hai aprampaar
Chaaron dishaaon mein goonjti
Hamaare Guruji kee hee Jai Jaikaar
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
June 7, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 474
Hamaare Guruji Kee Vadiyaayee
Hamaare Guruji kee vadiyaayee toh dekho
Ki baadal bhi jhuk kar karte hain Unka naman
Ve apni tadap jab Guruji ko sunaate hain
Kitna bharaa hota hai Unka mann
Apni aankhon ke ashru jab
Ve Guruji ke samaksh bahaa lete hain
Toh Guruji Unhe ashish dekar
Unn aansuon ko varsha banaa dete hain
Hamaare Guruji kee vadiyaayee toh dekho
Ki havaayein Unke sajde mein sheesh jhukaati hain
Guruji ke paawan sparsh se Ve
Guruji kee khushboo se swayam ko sugandhit paati hain
Hamaare Guruvar kee vadiyaayee toh dekho
Ki raja aur rank sab baraabar hain Unke dwaar par
Har jeev ka moksh nirbhar karta hai
Guruji dwaara kiye uddhaar par
Hamaare Guruji kee vadiyaayee toh dekho
Nirogi karte hain kaaya
Unhe prassann karta hai hamaara shudh bhaav
Na ki dikhaawa aur maya
Hamaare Guruvar kee vadiyaayee toh dekho
Hamaare adhiktar karam Apne par le lete hain
Hamaare dukh dard Ve sehkar
Hamein sukh aur chayn dete hain
Hamaare Guruji kee vadiyaayee toh dekho
Har taare par hai Unkee nazar
Har taara pyaar se timtimaata hai
Jab Guruji kee hoti hai uspar mehar
Hamaare Guruvar kee vadiyaayee toh dekho
Sooraj aur chaand bhi Unke hukm ke hain ghulaam
Unkee ijaazat ke bina ve uday nahin hotey
Chaahe lakh taare kar lein Unhe salaam
Hamaare Guruji kee vadiyaayee toh dekho
Ki Ganga Unke ashirwaad se behti hai
Guruji hee mere janmadaata hain
Ve saare jahaan se kehti hai
Hamaare Guruvar kee vadiyaayee toh dekho
Ki ati sukhdaayee hai Unkee divya drishti
Har jeevatma ka Ve kalyaan kar rahey hain
Aur sanvaar rahein hain Ve sampoorna srishti
Hamaare Guruji kee vadiyaayee toh dekho
Patta bhi nahin hil sakta Unkee ijaazat ke bina
Hum toh sadaa shukrguzaar hai Unke
Kyunki hamaara jeevan chal hee nahin sakta Unkee hifaazat ke bina
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja