June 8, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 110
Jeevan Ka Shubh Saar
Jab chot pahunchaata hai dil ko sansaar
Toh marham bantaa hai Guruji ka pyaar
Guruji hee lagaayein hamaara beda paar
Hamein museebat se bachaayein baar baar
Zindagi ke din hain keval do chaar
Praani, tu apne bharose ko na maar
Guruji avashya sunenge teri pukaar
Guruji hee hain hamaare paalanhaar
Guruji hamaare Hain vinamrataa ka bhandaar
Ve chaahein ki sangat ke hon shuddh vichaar
Aur prem bharaa ho sabka vyavhaar
Yahee toh hai jeevan ka shubh saar
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
June 8, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 475
Taral aur Saral Jeevan
Paani mein kitnee shakti hai
Jo shaant reh kar bhi agni ko bujha sakta hai
Phir kyun insaan pratikool paristhiti mein
Ashaant aur vichlit hokar thaktaa hai
Paani ko dekhein dhyan se
Jab pathreela moad hai aata
Paani kuch bhi kahey bina
Raasta naya hai banaata
Paani ke taral swabhaav se
Aao seekhein hum sab
Shaayad aasaan ho jaayega
Mushkilon ko jhelna tabb
Guruji kehte hain swayam ko banaao taral
Guruji kehte hain jeevan ko rakho saral
Guruji kee baat maan lene mein bhalaayee hai
Is baat mein poori sachchaayee hai
Guru naam bin hum jaayenge kahaan
Aakhir aisa kya rakha hai yahaan
Kyun na jaane kee koshish karein vahaan
Sachkhand ka paawan dhaam hai jahaan
Guruji ko jab saump diya hai jeevan
Toh farz banta hai ki hum maan lein Unka kehna
Jeevan ko saral aur taral rakhne ka prayatn karein
Aur sadaa pehnein Guru naam ka anmol gehna
Is gehne se hamaari atma ka shringaar ho jaayega
Is shringaar se hamaara mai bhi kho jaayega
Jisey khokar hamein praapti hogi Guruji ke charan kamal kee
Is se anmol saugat ho hee nahee sakti Guruji ke vachan par amal kee
Jeevan taral honei se shaant rahegi atma
Mann saaf hoga toh kareeb hongei Parmatama
Jeevan saral honei se kum ho jaayengi pareshaaniyaan
Yaad rahengi sadaa hamein Guruji kee meharbaaniyaan
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja