June 13, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 115
Savera Hoga Zaroor
Guruji baagbaan, hum sab hain phool
Hain hum keval Unke charnon kee dhool
Kabhi bhool se bhi na Unhei jaayein hum bhool
Vahee toh hataayein hamaare maarg ke shool
Guruji ke dhyan mein mann khushi se kho jaaye
Guruji ke hotei huey jo bhi hona hai ho jaaye
Janmadaata hain Guruji, sambhaalenge Vahee
Ab jeevan hamaara sanvaarenge Vahee
Haalaat badlenge, uday hoga sooraj
Buss thoda sa aur rakh le tu dheeraj
Na soch ki tu hai haalaat se majboor
Der se ho chaahe, par savera hoga zaroor
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
June 13, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 480
Jeevan Ka Tathya
Guruji, kripa kar sabko apni sharan mein leejiye
Guruji, kripa kar poore brahmaand ka mangal keejiye
Aapki kripa se safal ho sabka poojan
Aapki kripa se safal ho sabka jeevan
Aap hee Hain bhakton ka ekmaatra sahaara
Aapke bina nahin hum mein se kisee ka bhi guzaara
Aapki karuna ke bin insaan bhatkey maara maara
Aapse hee har janam mein uddhaar hai hamaara
Buddhi aisee deejiye hamein
Ki shukrana mein jeevan bitaayein
Daat aisee bakshiye
Ki shukrana mein hee jeete jaayein
Jhooth ka saath chodne kee rakhein taakat
Sach ka saath dene kee rakhein himmat
Sadhsangat ko hum apnaayein
Aur Aapke bahadur bachche kehlaayein
Sachchaayee apnaakar paap ka bojh halka karein
Apni taraf se poori koshish kee humne, is yathaarthta se dheeraj dharein
Aapse kuch bhi chhupa nahin, is hakeekat se miley hamein shanti
Hamaari atma ke mandir mein sadaa basee rahey Aapki kanti
Is jeevan ke janjaal mein humne kya khoya aur kya paaya
Kyun baar baar yeh sochkar karein hum waqt zaaya
Bahut khushkismat hain hum, ki Aapne hamein hai apnaaya
Tathya toh yeh hai ki ab baaki sab hai paraaya
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja