Jabb Jaage Tabb Ho Savera (06/16/2018) and Guruji Ka Prataap (06/16/2019)

June 16, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 118

       Jabb Jaage Tabb Ho Savera

Shiv yog kehta hai
Jabb jaage tabb ho savera
Kyun phir praani soya hai tu
Guruji kee sharan mein kar le baseraa

Bekaar kee baaton mein ulajhkar
Kitne keemtee varsh bitaaye
Dosti ke naam par logon ne
Din mein hee taare dikhlaaye

Isliye kahoon mai baat patey kee
Keval Guruji se jud jaa tu
Maya aur ahem kee sangat se duur
Neevein ho kar tur ja tu

Guruji karenge divya jyoti pradaan
Unke hee dhyan mein rehna achchaa hai
Bhajj le pyaare Guruji ka tu naam
Keval Unhee ka naam hee sachchaa hai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Jabb Jaage Tabb Ho Savera (06/16/2018)

June 16, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar πŸ™πŸ»πŸ™πŸ» # 483

                 Guruji Ka Prataap

Guruji hee Hain sansaar kee rachna karne waale
Ve hee Hain sabki jholiyaan bharne waale
Guruji hee sabke kashton ko Hain harne waale
Bhakton ka uddhaar aur kalyan karne waale

Jeevan kee har subah hai dein Guruji kee
Har jeev ka har shwaas hai Unkee meharbaani
Jab Guruji le lete Hain Apni sharan mein
Tabb badal jaati har bhakt kee zindagaani

Unkee maujoodgee kee gawaahi detein hain
Yeh dharti, sooraj, chaand, aur taare
Unke sajde mein sir ko jhukaate hain
Prakriti se saare ke saare nazaare

Guruji kee mahima aprampaar
Bhakton ke liye Unka aseem pyaar
Yeh dekh kar bhaav vibhor ho jaata hai mann
Unka pyaar hai hamaare liye anmol dhan

Guruji kee divyataa kee bhavyataa mein
Bhakt jab kho dega apne aap ko
Tabb uska roam roam jaan paayega
Pyaare Guruji ke prataap ko

Jitna gehra hoga Guruji ke sangg naata
Utnee hee jaldi saaf hoga karmon ka khaata
Jitnee ghanisht hogi hamaari sadhna
Utna hee ruhaani rangg laayegi hamaari aradhana

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji πŸ™πŸ»πŸ™πŸ»
Dhirja

Guruji Ka Prataap (06/16/2019)

Leave a comment