June 25, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 127
Kyun Dharma Sankat Mein Baitha Hai
Jeevan keval mithya hai
Satya hai Shiv Yog
Jis se atma swasth rahei
Aur lagey na koi roag
Peeda sehni padey agar
Shiv Yog takk pahunchne ke liye
Toh sabr, sneh, aur shradha ke
Tu apne dil mein jalaa le diye
Unkee ujjwal roshni se
Tera raasta jagmagaayega
Guruji kee sharan mein hoga tu
Toh moksh ko tu paayega
Apne aap ko kabhi na paayega akela
Chaahe saari duniya de tujhe chod
Phir kyun dharma-sankat mein baithaa hai tu
Guruji se atoot rishta tu le joad
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja
June 25, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 492
Jeene Kee Tehzeeb
Guruji ko saadhein pyaar se aur shraddha se
Darne kee koi baat nahin
Jiske baad subah na aaye
Aisi koi bhi raat nahin
Saadhna hee maarg hai nirbhay honei ka
Vilambh hai toh buss nishchay honei ka
Yeh nishchay ki Guruji kee dikhaayee raah par chalna hai
Yeh nishchay ki sadaa Unke hee aanchal mein palna hai
Saadhna karein aisi ki Guru prasann ho jaaye
Ekaagrataa ho aisi ki atma-bal badh jaaye
Chaahe koi bhi laukik aakarshan saamne aaye
Guruji ka dhyan chod kar dil dhar udhar na bhatak jaaye
Koi bhi nahin chheen sakta humse hamaari saadhna
Shraddha niswaarth ho toh zaroor safal hogi aradhana
Saadhna ko banaa lein jeevan ka niyam
Saadhna se laayein swayam mein sainyam
Saadhna se hum ho jaayenge Guruji ke itne kareeb
Ki phir na koi baat hamein sataayegi na hee lagegi ajeeb
Guruji se jud jaayega hamaara naseeb
Aur sanvar jaayegi hamaare jeene kee tehzeeb
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja