Aapki Kripa Se (06/30/2018) and Guru Naam Ke Chintan Kee Leela (06/30/2019)

June 30, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 132

                    Aapki Kripa Se

Guruji zindagi mein aaye Aap
Bhar gaya is dil ka ghaav
Aapko khush rakhna chaahe
Hamaare dil ka sachchaa bhaav

Aapka hamaare jeevan par
Hua aisa prabhaav
Ki aapke pyaar ko paakar
Na raha koi bhi abhaav

Hamaara sadaa achchaa rahe
Sabke saath swabhaav
Ab toh aapke darshan ka
Badhtaa jaata chaav

Aapki kripa se hee pahunchegi
Kinaare par apni naav
Chaahe zindagi mein aayein
Jitne bhi utaar-chadhaav

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Aapki Kripa Se (06/30/2018)

June 30, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 497

    Guru Naam Ke Chintan Kee Leela

Jahaan vishwaas ho vahaan chinta ka kya kaam
Buss lete chalo shraddha se Guruji ka naam
Guru naam ke chintan kee leela hai aparampaar
Guruji kabhi na chodenge tumhe beech majdhaar

Haan, kabhi kabhi rona aata hai kayee haalaat mein
Aur kayee prasang chhupe hotei hain ek hee sawaalaat mein
Lekin jabb Guruji par atal vishwaas hai
Toh yaad rakho, raahat bilkul hee paas hai

Raahat milegi har chinta se
Raahat milegi karmon ke bhaar se
Zindagi zaroor sanvar jaayegi
Guruji ke diler dulaar se

Guruji kee razaa mein hogi manzoori
Phal laayegi tumhaari shraddha aur saboori
Karmon kee yatra na reh jaaye adhoori
Yeh baat bhi toh hai bilkul zaroori

Guruji kee pooja se mann ko milegi shanti
Tumhaare noor mein chamkegi Guruji kee kanti
Karmon ko jhelna aasaan hoga
Jabb tumhaare sangg Bhagwaan hoga

Buss, phir aur kuch kyun sochna
Na karo pichhle karmon kee aalochanaa
Guru kripa se kar lo tum apna uddhaar
Bade bhagya hain ki Guruji ne kiya tumhe sweekaar

Vahee hain Param Parmeshwar
Mushkil se Vahee nikaalenge
Samarpan kar diya hai Unko
Toh Vahee sab sambhaalenge

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guru Naam Ke Chintan Kee Leela (06/30/2019)

Leave a comment