July 4, 2018
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 136
Chaaron Oar Gungaan
Pyaare Guruji ke darshan pe
Mai balihaari jaaoon
Unke nirmal divya roop pe
Mai toh vaari jaaoon
Duniya chaahe saath chod de
Aap toh paas bulaate hain
Yahaan apne paraaye kee pehchaan nahin
Par Aap toh apnapan nibhaate hain
Duniya dekhti hai insaan kee haisiyat
Pariwaar dekhta hai vaseeyat
Aap parakhte hain sabki neeyat
Aur chaahte hain sabki khairiyat
Aapke darbar mein gunaah maaf hai
Agar bande kee neeyat saaf hai
Aapki leela toh bilkul laajawaab hai
Yahaan har chehra benakaab hai
Aapke darbar mein insaaf hoga
Jhooth ka aur sachchaayi ka
Aur chaaron oar gungaan hoga
Guruji, Aapki vadiaayi ka
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja
July 4, 2019
Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar ππ»ππ» # 501
Ab Jo Sweekaara Hai Apne Guruji
Poojya Guruji,
Nawaza hai Aapne apne pyaar se hamein
Sambhaala hai Aapne apne dulaar se hamein
Baksha hai Aapne apne aitbaar se hamein
Sukhi kiya hai Apne apne deedar se hamein
Har paristhiti mein Aap par vishwaas hai
Aapki manzoori ka mulazim har shwaas hai
Aapki kripa har pal hamaari zindagi ka raaz hai
Atma kee vaadiyon mein goonjti Aapki ruhaani awaaz hai
Aap se baant sakte hain hum khul kar dil ka haal
Aapke hukm se toh niyati bhi sudhaar leti hai apni chaal
Kal kya hoga, iska kewal Aapko gyan hai
Apne har bhakt ka Aapko har pal rehta dhyan hai
Is asthirta ke haalaat mein Aapka sunishchit sahara hai
Is kalyuga ke samay mein Aapke bina nahin guzara hai
Aapse hee hai hamara sadaacharan
Aapse hee hai mangal vaataavaran
Sadaa ke liye buss Aap mein ramm jaayein
Aisee subuddhi aur shradha hamein bakshiye
Ab jo sweekaara hai Aapne Guruji
Sadaa ke liye Apne charnon mein rehne deejiye
πΉπΉπΉπΉπΉπΉπΉ
Jai Guruji ππ»ππ»
Dhirja