Sarvagyani Guruji Sadaa Jaanein (07/06/2018) and Guruji Ke Nakshe Kadam Par (07/06/2019)

July 6, 2018

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 138

  Sarvagyani Guruji Sadaa Jaanein

Sarvagyaani Guruji sadaa jaanein
Hamaare dil ka har ek bhaav
Unke anusaar chalenge hum
Toh jeevan par hoga achchaa prabhaav

Shubh karmon se ho urdhvagati
Divya maarg ka raasta khul jaaye
Guruji swayam hee nirdesh dein
Aur hamein sunehri manzil mil jaaye

Sarvavyaapi bhi hain hamaare Guruji
Jahaan bhi hum, vahaan hai Unki nazar
Unhei hai maalum ki hamaare karmon ka
Kya hoga hamaari niyati par asar

Sabse aasaan tareeka toh yeh hai ki
Vichaar mein khot na laayein hum
Achche hongei phir karam hamaare
Na hoga aaney waale janmon mein gumm

Maan lein aao Guruji ka kehna
Unke vardaan se jholi bhar lein
Pehen lein Unke naam ka gehna
Unka beintehaa shukrana kar lein

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Sarvagyani Guruji Sadaa Jaanein (07/06/2018)

July 6, 2019

Om Namaha Shivaya
Aaj Ka Suvichaar 🙏🏻🙏🏻 # 503

      Guruji Ke Nakshe Kadam Par

Ab jo Guruji ko apna sab kuch maana hai
Toh Guruji ke nakshe kadam par chalte jaana hai
Ek Vahee toh hain jinhonei saath nibhaana hai
Isliye Unhee ke kamal charan mein apna thikaana hai

Jab Guruji ne hee sabko azmaana hai
Toh kyun auron ko jhootha dikhaawa dikhaana hai
Ab toh apne aap ko yahee samjhaana hai
Ki Guru naam hee sabse anmol khajaana hai

Apna dhyan buss Guruji mein lagaana hai
Apne aap ko ruhaaniyat ke maarg par laana hai
Swayam mein prem poorna vyavhaar laana hai
Shraddha aur saboori ko sadaa ke liye apnaana hai

Guruji se kuch nahin chupaana hai
Unhe dil ka poora haal sunaana hai
Mann mein jo bhi ho, Guruji ko bataana hai
Chaahe Ve sab jaante hain, hamein apna farz nibhaana hai

Jab jeevan kee kisee uljhan ko suljhaana hai
Hamein toh madad ke liye Guruji ko bulaana hai
Chaahe gardish mein yeh zamaana hai
Hamein sachchaayee se nahin ghabrana hai

Guruji ko hee mann mandir mein basaana hai
Unhee se jodna jeevan ka afsaana hai
Apni atma ko Guru naam ke gehne se sajaana hai
Kyunki yeh dil toh buss Guruji ka hee deewana hai

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Jai Guruji 🙏🏻🙏🏻
Dhirja

Guruji Ke Nakshe Kadam Par (07/06/2019)

Leave a comment